Ay Jannat ul Baqi Joan Rizvi Lyrics In Urdu 2020
Aye Jannat Ul Baqiyah Sibt e Jafar
Yeh Zindagi Hai Tujh Se Aye Janat Ul Baqiyah.
Gham Our Khushi Hai Tujh Se Aye Janat Ul Baqiyah.
Dharas Bari Hai Tujh Se Aye Janat Ul Baqiyah.
Hum Teri Hasb-e-Mansha Tameer Kar Na Paye.
Tu Munhidam Hoi Jab Hum Tab Bhi Be Khabar They.
Sharmindagi Hai Tujh Se Aye Janat Ul Baqiyah.
Hai Wajh-e-Khalq-e-Aalam Madfon Iss Zameen Par.
Masoom Panch Hain Our Bint-e-Asad Yahin Par.
Yeh Zindagi Hai Tujh Se Aye Janat Ul Baqiyah.
Hai Aal Ka Khazeena Ashab Ka Dafina.
Azwaj Ka Bhi Madfan Ansar Ka Madina.
Yeh Roshni Hai Tujh Se Aye Janat Ul Baqiyah.
Jo Ummati Hain Unn Ke Qubay Banay Hoye Hain.
Pairon Ke Aastane Katbay Sajay Hoye Hain.
Par Dushmani Hai Tujhey Se Aye Janat Ul Baqiyah.
Dil Ki Muradein Ab Bhi Patay Hain Hum Yahin Se.
Milta Hai Jo Yahan Se Milta Nahi Kahin Se.
Dharas Bari Hai Tujh Se Aye Janat Ul Baqiyah.
Tujh Par Jo Hakimo Ne Pehrey Bitha Diye Hain.
Apne Taein Woh Teri Azmat Ghata Rahe Hain.
Khaif Shahi Hai Tujh Se Aye Janat Ul Baqiyah.
Kabay Se Jo Adawat Ashab-e-Feel Ko Thi.
Aoulad-e-Abarha Our Aal-e-Saud Ko Bhi.
Nafrat Wohi Hai Tujh Se Aye Janat Ul Baqiyah.
Aal-e-Saud Ho Ya Hoon Kharji-o-Najdi.
Dhaya Jinhoon Ne Tujh Ko Dono Jahan Mein Unn Ki.
Zillat Hoi Hai Tujh Se Aye Janat Ul Baqiyah.
Mah-e-Azza Hai Hum Ko Shawwal Ka Maheena.
Tameer Jab Tu Ho Gi Woh Din Khushi Ka Ho Ga.
Gham Our Khushi Hai Tujh Se Aye Janat Ul Baqiyah.
Jate Hain Jaisay Mashhad Hum Karbala Bhi Jaein.
Maka Madina Aqsa Aazad Hum Karaein.
Manga Yehi Hai Tujh Se Aye Janat Ul Baqiyah.
Ajdad Ka Watan Our Madfan Hai :SIBT-E-JAFAR:.
Tujh Par Ho Youn Bhi Rehmat Aye Sar Zameen-e-Sarwar.
Yeh Deen Bhi Hai Tujh Se Aye Janat Ul Baqiyah.
Poet: :Ustad Sibt-e-Jafar Zaidi:
Noha Khuwan: :Ustad Sibt-e-Jafar Zaidi:
Noha Volume: :Ustad Sibt-e-Jafar Zaidi 2013-14:
#AyeJannatUlBaqiyah
#NohayLyrics
#tajpoint
8 Shawal Noha Ay Jannat ul Baqi Joan Rizvi
New Noha Ay Jannat ul Baqi Joan Rizvi