Jabeen Surk Hui Hai Syed Ali Ghazi Zaidi Lyrics In Urdu and Roman Urdu
سجدے مِیں نمازی کی جبیں سُرخ ہوئی ہے
Sajday Mein Namazi Ki Jabeen Surkh Hoi Hai.
Yeh Taig Ali Par Nahi Ahmad Pe Chali Hai.
Kofa Ke Yateemo Ne Kiye Bain Yeh Ro Kar.
Ab Kis Se Kahin Ja Ke Humein Bhok Lagi Hai.
Aye Momino Mara Gaya Sardar Tumhara.
Jibreel Ki Janib Se Manadi Yeh Hoi Hai.
Sar Baba Ka Dekha Tu Hasan Ro Ke Pukarey.
Kofay Mein Bhi Tehreer-e-Nabi Chak Hoi Hai.
Galtaan Hai Lahu Mein Abu Talib Ka Dulara.
Hairat Se Khari Khalq-e-Khuda Dekh Rahi Hai.
Main Kaisay Bhulaon Merey Maula Shab-e-Zarbat.
Ghazi Se Yehi Taig-e-Ali Poch Rahi Hai.
Ik Saf Hai Malaik Ki Hussain Aap Ke Humrah.
Hathoon Se Sar-o-Seena Khari Peet Rahi Hai.
Taboot-e-Ali Par Yeh :ALINA: Ki Dua Hai.
Sukh Paye Woh Maula Jo Tere Gham Mein Dukhi Hai.
Poetess: :Alina Nasir:
Noha Khuwan: :Syed Ali Ghazi Zaidi:
Noha Volume: :Syed Ali Ghazi Zaidi 2022-23:
Composition: :Aoun Jaffri:
#JabeenSurkHuiHai
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com