Zainab Tere Hussain Ka Gham Karte Rahein Gay Hasan Sadiq Lyrics Urdu 2006
Zainab Tere Hussain Ka Gham Karte Rahein Gay Hasan Sadiq.
Hum Seena Zani Sham-o-Sahar Kartay Rahein Gay.
Aye Sani-e-Zahra Teri Sunat-e-Hai Yeh Matam.
Apne Tu Aqeeday Mein Ibadat Hai Yeh Matam.
Har Haal Mein Yeh Farz Ada Kartay Rahein Gay.
Jis Ne Teri Chadar Pe Fida Kar Deiye Bazu.
Kehti Hai Jisay Bibi Alamdar-e-Wafa Tu.
Ghar Ghar Tere Ghazi Ke Alam Sajtay Rahein Gay.
Dohraein Gay Pyasay Tere Asghar Ki Kahani.
Ta Hashar Jissay Roye Ga Daryaon Ka Pani.
Har Ghont Pe Hum Yaad Ossay Kartay Rahein Gay.
Jo Aag Liye Khana-e-Zahra Pe They Aaye.
Khiyam Jinhoon Ne Tere Karbal Mein Jalaye.
Woh Nar-e-Jahanum Mein Sada Jaltay Rahein Gay.
Bibi Tere Beton Ke Baradar Ke Lahu Se.
Roshan Jo Hoye Aal-e-Payamber Ke Lahu Se.
Woh Deep Hawaon Mein Sada Jaltay Rahein Gay.
Bholay Gi Na Dunya Yeh Teri Dard Kahani.
:JAWAD: Ke Lab Se Kabhi :SADIQ: Ki Zabani.
Pursa Tere Pyaron Ka Tujhe Detey Rahein Gay.
Poet: :Jawad Jafri:
NohaKhowan: :Hasan Sadiq:
Noha Volume: :Hasan Sadiq 2006-07:
#ZainabTereHussainKaGham
#NohayLyrics
#tajpoint