Haye Baba Ali Kabir Ajmal Lyrics In Urdu and Roman Urdu
باباؑ ہائے باباؑ
Sakina Kya Karey Baba Howa Dushwar Bhi Jeena.
Woh Apna Gham Biyaan Karne Lagi Yeh Chand Se Ro Ke.
Musayab Baap Se Beti Ke Kitne Miltay Julte Hain.
Laeen Ne Itna Mara Hai Ke Mere Daant Bhi Toray.
Sar-e-Sarwar Ne Dekha Hai Yeh Naizay Ki Bulandi Se.
Bari Takleef Hoti Thi Bandhi Rasi Jo Shano Se.
Koi Dekhey Na Gham Main Ne Jo Dekhey Apni Aankhon Se.
Kahan Ho Aye Mere Baba Sitamgar Zulm Dhatay Hain.
Ridaein Cheen Ke Sar Se Sabhi Khaimay Jalatay Hain.
Khata Kya Hai Hamari Kyun Humein Itna Satatay Hain.
Yeh Kaisay Loag Hain Baba Humein Qaidi Banatay Hain.
Khabar Inn Ko Nahi Shayad Ke Hum Hain Aal-e-Peygamber.
Farishtay Arsh Se Aaye Jahan Woh Hai Hamara Ghar.
Watan Se Aa Ke Bhi Hum Ne Sakoon Ik Pal Nahi Paya.
Juda Maa Se Howa Apni Har Ik Aagosh Ka Pala.
Mere Beemar Bhai Ke Galay Mein Tauq Pehnaya.
Sitam Aisa Nahi Zalim Ne Jo Hum Par Nahi Dhaya.
Barehna Pa Chalaya Hai Humein Zalim Ne Kharon Par.
Taras Thora Sa Bhi Khaya Nahi Qismat Ke Maron Par.
Gham-e-Furqat Mein Hai Dil Ki Jo Halat Kya Bataon Main.
Tumhare Baad Jo Tooti Qayamat Kya Bataon Main.
Musibat Par Musibat Thi Musibat Kya Bataon Main.
Uthai Hum Ne Jo Baba Aziyat Kya Bataon Main.
Rasan Mein They Mere Bazu Kamar Zakhmi Thi Durron Se.
Jhulas Kar Reh Gaya Baba Mera Kurta Bhi Sholon Se.
Ajab Hain Sham Walay Yeh Hain Inn Ke Dil Bhi Pathar Ke.
Tamachay Rukh Pa Marey Hain Sheh-e-Wala Ki Dukhtar Ke.
Sitamgar Khainchtay They Zoor Se Baloon Ko Bhi Sar Ke.
Seham Jata Tha Dil Seene Mein Zulm Se Mera Dar Ke.
Mujhe Mara Hai Itna Ke Kamar Tak Jhuk Gayi Meri.
Tamachay Zoor Se Partay They Unn Ke Hath They Bhari.
Hajoom-e-Aam Tha Baba Har Ik BiBi Thi Nangay Sar.
Kisay Aawaz Hum Detey Koi Monis Na Tha Yawar.
Chupaya Rukh Ko Baloon Se Na Thi Sar Par Koi Chadar.
Musalmano Ne Na Socha Ke Hain Yeh Aal-e-Peygamber.
Guzara Ghair Muslim Ke Muhallay Se Humein Baba.
Hamara Martaba Koi Sitamgar Ne Nahi Samjha.
Kaha Bali Sakina Ne Lipat Kar Shah Ke Sar Se.
Galay Par Zakhm Hain Kitne Main Dekhon Aakhri Din Ke.
Chari Se Bans Ki Baba Tumhein Mara Sitamgar Ne.
Juda Beti Ko Apne Baap Se Kya Mil Gaya Kar Ke.
Musalmano Ki Aye Baba Yeh Kaisi Be Hayai Hai.
Tumhare Daant Bhi Zakhmi Hain Woh Zarbat Lagai Hai.
Woh Meri Baliyaan Na Cheentay Kuch Our Le Jate.
Barey Nazoon Se Pehnai Thi Yeh Kano Mein Baba Ne.
Main Khud Hi Unn Ko De Deti Agar Woh Mujh Se Keh Detey.
Lahu Se Mere Kano Ko Na Iss Tarha Se Tar Kartay.
Sakhi Mera Gharana Hai Sakhi Ki Main Bhi Hoon Beti.
Main Apni Baliyaan Tohfay Mein Unn Ki Beti Ko Deti.
Padar Ke Gham Mein Ik Bachi Lahu Roti Rahi Har Dam.
Raqam Kaisay Karon Main :AARZOO: Yeh Dastan-e-Gham.
Parha :AJMAL: Ne Woh Noha Ke Aankhein Ho Gayin Purnam.
Ali Roye Nabi Roye Howa Firdos Mein Matam.
Ghazab Ka Dard Hai Shamil Sakina Ki Kahani Mein.
Nigahein Rehti Hain Masroof Ashkon Ki Fashani Mein.
Poet: :Aarzoo Sirsvi:
Noha Khuwan: :Ali Kabir Ajmal:
Noha Volume: :Ali Kabir Ajmal 2022-23:
#HayeBaba
#NohayLyrics
#tajpoint