Haye Haye Mazloom Imam Ali Kabir Ajmal Lyrics In Urdu and Roman Urdu
ہائے ہائے مظلوم اِمامؑ
Ashor Ka Yeh Roz Qayamat Ka Roz Hai.
Sadaat-e-Mustafa Ki Musibat Ka Roz Hai.
Zahra Ke Ladloon Ki Musibat Ka Roz Hai.
Bikhri Hain Lashein Chahney Walon Ki Chaar So.
Pyason Ke Khoon Se Aaj Hai Maqtal Lahu Lahu.
Taraaj Ho Gaya Chaman e Bint-e-Mustafa.
Marey Gaye Do Phool Se Zainab Ke Meh Laqa.
Qasim Ka Jism Dasht Mein Taqseem Ho Gaya.
Ranj-o-Aalam Ghareeb Se Aa Kar Lipat Gaye.
Abbas Namdar Ke Bazu Bhi Kat Gaye.
Thokar Lagi Zameen Pe Girey Shah-e-Karbala.
Aankhon Ka Noor Daag-e-Pisar Se Chala Gaya.
Akbar Ka Sara Jism Hai Khoon Mein Atta Howa.
Dard-e-Jigar Se Ayeriyaan Ragrein Guzar Gaya.
Aankhon Ke Samne Hi Jawaan Lal Mar Gaya.
Khaimay Mein Aaye Rukhsat-e-Aakhir Ko Phir Hussain.
Barpa Tha Fart-e-Ranj Se Syedaniyon Mein Bain.
Har Simt Thi Fizaon Mein Aawaz Shoor-o-Shain.
Khaimay Se Aisay Janib-e-Maqtal Chaley Imam.
Jaisay Kissi Janazay Ka Hota Hai Ahtamam.
Karb-o-Bala Ke Dasht Mein Tanha Ghareeb Ko.
Charon Taraf Se Foaj Ne Ghaira Ghareeb Ko.
Taigon Se Our Naizon Se Mara Ghareeb Ko.
Itnay Chalaye Teer Ke Zakhmi Badan Girey.
Rahwar Se Zameen Pe Imam-e-Zaman Girey.
Pathar Se Mara Tashna Dafan Ko Sitam Kiya.
Bosa Gah-e-Rasool Se Khoon Behta Reh Gaya.
Zulm-o-Sitam Ka Roka Na Aada Ne Silsila.
Maula Musafirat Mein They Apno Se Door They.
Pyasay They Teen Roz Ke Zakhmo Se Choor They.
Beti Ali Ki Tilla e Maqtal Tak Aa Gayi.
Dast-e-Najis Mein Shimar Ki Dekhi Jo Ik Churi.
Bekas Ne Ghamzada Ne Tarap Kar Sada Yeh Di.
Aye Shimar Fatima Ki Kamai Ko Chor De.
Kuch Kha Taras Ghareeb Ke Bhai Ko Chor De.
Sar Peetti Thin :MIR HILAL: Ashkbar Thin.
:AJMAL: Tha Parah Parah Jigar Sogowar Thin.
Zahra Duhai Deti Rahein Be Qarrar Thin.
Shimar Laeen Ne Reham Na Khaya Hussain Par.
Khanjar Jo Kund Tha Woh Chalaya Hussain Par.
Poet: :Mir Hilal Rizvi:
Noha Khuwan: :Ali Kabir Ajmal:
Noha Volume: :Ali Kabir Ajmal 2022-23:
#HayeHayeMazloomImam
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com