ٹ کریں -->

Takhleeq e Fatima Hai Abbas e Baa Wafa Sibtain Haider Lyrics Urdu 2023

Takhleeq e Fatima Hai Abbas e Baa Wafa Sibtain Haider Lyrics Urdu 2023

Takhleeq e Fatima Hai Abbas e Baa Wafa Sibtain Haider.

Tanveer e Murtaza Hai Abbas-e-Bawafa.

Umm Ul-Banin Jis Ki Tilawat Karey Wohi.
Sorah-e-Hal Atta Hai Abbas-e-Bawafa.

-->

Shabeer Ki Nigahon Ka Markaz Bana Raha.
Zainab Ka Aasra Hai Abbas-e-Bawafa.

Kis Ki Majal Iss Se Jo Takraye Dehar Mein.
Ghairat Ka Badshah Hai Abbas-e-Bawafa.

Hum Ne Alam Ko Tham Ke Bas Al-Madad Kaha.
Mushkil Kusha Bana Hai Abbas-e-Bawafa.

Youn Tu Abu Turab Hai Yakta Jahan Mein.
Sab Ko Ali Laga Hai Abbas-e-Bawafa.

Ik Hath Mein Hai Mashk Tu Ik Hath Mein Alam.
Be Taig Lar Raha Hai Abbas-e-Bawafa.

Larney Ki Hasraton Ko Jo Dil Mein Hi Le Gaya.
Tasveer-e-Karbala Hai Abbas-e-Bawafa.

Ismat Ke Jo Hijabon Mein Palta Raha :BATOOL:.
Tauheed Ki Baqa Hai Abbas-e-Bawafa.

Poetess: :Fakhira Batool Naqvi:
Manqabat Khowan: :Sibtain Haider:
Manqabat Volume: :Sibtain Haider 2022-23:
Composition: :Arshad Bismil:

#AbbaseBaaWafa
#ManqabatLyrics
#tajpoint

Takhleeq e Fatima Hai Abbas e Baa Wafa Sibtain Haider Lyrics Urdu 2023 Write Up Poster Image

Takhleeq e Fatima Hai Abbas e Baa Wafa Sibtain Haider Lyrics Urdu 2023

Video Link

اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!

اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔

error: Content is protected !!