Sajjad Ki Jawani Bazaar Kha Gaya Hai Sibtain Haider Lyrics Urdu 2023

Sajjad Ki Jawani Bazaar Kha Gaya Hai Sibtain Haider Lyrics Urdu 2023

Sajjad Ki Jawani Bazaar Kha Gaya Hai Sibtain Haider.

Sajjad Ki Jawani Bazar Kha Gaya Hai Aankhon Se Khoon Ke Aanso Beemar Ro Raha Hai.
Sharam-o-Haya Ki Malka Balway Mein Be Rida Hai Aankhon Se Khoon Ke Aanso Beemar Ro Raha Hai.

1- So Zakhm Hain Jigar Mein Dil Bhi Hai Parah Parah Marey Gaye Chacha Bhi Bhai Rahe Na Baba.
Seene Mein Karti Matam Ashor-e-Karbala Hai Aankhon Se Khoon Ke Aanso Beemar Ro Raha Hai.

2- Sham-e-Ghareebaan Sholay Woh Nezay Woh Ridaein Jalta Howa Woh Sehra Pyason Ki Woh Sadaein.
Zain Ul-Ebba Ke Dil Ne Kya Kya Na Gham Saha Hai Aankhon Se Khoon Ke Aanso Beemar Ro Raha Hai.

3- Waris Sar-e-Sina Hai Sar Nangay Bibiyaan Hain Paband Rasiyon Mein Zahra Ki Betiyaan Hain.
Gardan Mein Tauq Pehne Salar-e-Qafila Hai Aankhon Se Khoon Ke Aanso Beemar Ro Raha Hai.

4- Sadaat Ro Rahe Hain Gustakh Hans Rahe Hain Namoos-e-Mustafa Pe Pathar Baras Rahe Hain.
Aal-e-Nabi Hai Qaidi Bazar Sham Ka Hai Aankhon Se Khoon Ke Aanso Beemar Ro Raha Hai.

5- Yeh Unn Ki Betiyaan Hain Parhtay Ho Jin Ka Kalma Inn Shahzadiyon Ke Sar Dhanp Do Khudara.
Ghayoor Ke Labon Par Bas Yehi Iltija Hai Aankhon Se Khoon Ke Aanso Beemar Ro Raha Hai.

6- Bazar Mein Yeh Manzar Sajjad Kaisay Dekhey Behna Ko Marta Hai Shimar e Laeen Tamachay.
Bekas Imam Par Yeh Ghurbat Ki Inteha Hai Aankhon Se Khoon Ke Aanso Beemar Ro Raha Hai.

7- Zalim Shaqi Ke Lab Par Hai Naam Aliya Ka Zain Ul-Ebba Ki Ghairat Kaisay Karey Gawara.
Ghayoor Sar Jhukaye Darbar Mein Khara Hai Aankhon Se Khoon Ke Aanso Beemar Ro Raha Hai.

8- Karb-o-Bala Se Le Kar Jo Sham Tak Hoye Hain :JAWAD: Sab Mazalim Ossay Yaad Aa Rahe Hain.
Zair-e-Kafan Bhi Lab Par Al Sham Ki Sada Hai Aankhon Se Khoon Ke Aanso Beemar Ro Raha Hai.

Poet: :Jawad Jafri:
Noha Khuwan: :Sibtain Haider:
Noha Volume: :Sibtain Haider 2023-24:
Composition: :Ahmed Ali:

#SajjadKiJawani
#NohayLyrics
#tajpoint

Sajjad Ki Jawani Bazaar Kha Gaya Hai Sibtain Haider

Sajjad Ki Jawani Bazaar Kha Gaya Hai Sibtain Haider Lyrics Urdu 2023 Write Up Poster Image

Sajjad Ki Jawani Bazaar Kha Gaya Hai Sibtain Haider Lyrics Urdu 2023

Video Link
error: Content is protected !!