Haye Shabbir Ka Sar Aise Charha Naizay Par Lyrics In Urdu and Roman Urdu
ہائے شبّیرؑ کا سَر ایسے چڑھا نیزے پر
Baqi Gardan Ka Lahu Sara Baha Naizay Par.
Teer Ne Zakhmi Kiya Pehle Gul-e-Asghar.
Our Woh Pyasa Gala Phir Se Chida Naizay Par.
Pocha Be Sheer Ki Maa Ne Mera Asghar Hai Kahan.
Ro Ke Bano Se Yeh Zainab Ne Kaha Naizay Par.
Dekho Abbas Ka Sar Khak Pe Gir Jata Hai.
Oss Se Dekhi Nahi Jati Hai Rida Naizay Par.
Teer Nazron Ke Lagay Zainab-e-Dilgeer Ko Jab.
Sar-e-Shabbir Ne Quran Parha Naizay Par.
Bad-e-Karbal Bhi Woh Humrah Aseeron Ke Rahe.
Sab Shaheedon Ne Har Ik Zulm Saha Naizay Par.
Sham Bazar Mein Har Bibi Ne Khaye Pathar.
Sath Har Sar Bhi Wahan Zakhmi Howa Naizay Par.
Naam Le Kar Woh Bulatay Rahe Har Bibi Ko.
Sun Ke Yeh Naam Har Ik Rota Raha Naizay Par.
Jang Shabbir Ne Iss Tarha Se Jeeti :HASNAIN:.
Ban Ke Islam Ki Pehchan Utha Naizay Par.
Poet: :Zawwar Syed Hasnain Abbas Al-Hasani:
#NaizayPar
#NohaLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com