Azakhana – Faqeer Arif Imam Lyrics In Urdu and Roman Urdu
محیطِ گردشِ کون و مکاں عزا خانہ
Moheet-e-Gardish-e-Kaun-o-Makaan Azza Khana.
Zameen Farsh-e-Azza! Aasmaan Azza Khana.
Yahan Saja Ke Uthaya Gaya Nishan-e-Azal.
Nabod-o-Bod Ke Hai Darmiyaan Azza Khana.
Yeh Sajdah Gah-e-Tareqat, Yehi Musalla e Dil.
Kahan Shiyokh-o-Shariyat? Kahan Azza Khana?.
Sar-e-Ufaq Jo Pharera Hai Saat Rangon Ka.
Saja Rahe Hain Imam-e-Zamaan Azza Khana.
Teri Nigah Pe Khultay Nahi Ramooz e Wajood.
Teri Nazar Se Hai Ab Tak Nihaan Azza Khana.
Nigar e Dunya Nahi Tujh Se Guftgu Mumkin.
Paray Ga Tere Mere Darmiyaan Azza Khana.
Hamarey Seene Ki Tosee Hone Wali Hai.
Banaya Jane Laga Hai Yahan Azza Khana.
Har Aik Qamat e Mani Pe Saya Zan Hai Alam.
Har Aik Moj e Sukhan Mein Rawaan Azza Khana.
Yeh Loag Naam-o-Nishaan Mera Pochtay Kyun Hain?.
:FAQEER: Naam Hai Mera! Nishaan Azza Khana.
Poet: :Faqeer Arif Imam:
#Azakhana
#SalamLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com