Faryad e Sakina Zawwar Syed Hasnain Abbas Al-Hasani Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Faryad e Sakina Zawwar Syed Hasnain Abbas Al-Hasani Lyrics In Urdu and Roman Urdu

فریادِ سکینہؑ

Ro Ke Kehti Thi Bali Sakina.
Mere Baba Ko Mat Mar Zalim.
De Rahi Hoon Main Kab Se Duhai.
Sun Le Tu Meri Ik Bar Zalim.
Jis Ke Khoon Se Rangay Hath Tu Ne.
Woh Nawasa Hai Tere Nabi Ka.
Qatal Kunba Kiya Sheh Ka Sara.
Tu Hai Kitna Gunahgar Zalim.
Alqama Ki Taraf Dorti Hai.
Kabhi Soye Najaf Dekhti Hai.
Our Yeh Chilla Ke Kehti Hai Bachi.
Rook Khanjar Ke Yeh Waar Zalim.
Main Bhi Shabbir Ki Hoon Dulari.
Teri Baiyat Ko Kar Doon Gi Ruswa.
Yaad Rakhna Keh Mehnga Paray Ga.
Tujh Ko Khanjar Ka Har Waar Zalim.
Khon Rukta Nahi Aik Pal Bhi.
Zakhmi Kano Se Nanhi Si Jaan Ke.
Itni Be Rehmi Se Tu Ne Khainchey.
Goshwaron Ke Yeh Taar Zalim.
Pusht Zakhmi Hai Sajjad Ki Our.
Oss Ke Talwon Se Jari Lahu Hai.
Chand Lamhey Ossay Baithne De.
Oss Ka Chalna Hai Dushwar Zalim.
Tu Ne Jo Zikar Chaha Dabana.
Ab Woh Ghonjay Ga Sare Jahan Mein.
Nam-e-Shabbir Zindah Rahe Ga.
Teri Mehnat Hai Be Kar Zalim.
Chadrein Koi Hum Ko Dila Do.
Koi Abbas Ko Hi Bola Do.
Be Rida Sham Mein Bibiyaan Hain.
Our Majma e Agyar Zalim.
Apne Baba Ke Qatil Se Ro Kar.
Haye :HASNAIN: Woh Keh Rahi Thi.
Chor De Mere Baba Hain Zakhmi.
Our Zakhmo Mein Hai Khar Zalim.
Poet: :Zawwar Syed Hasnain Abbas Al-Hasani:
#FaryadeSakina
#NohaLyrics
#tajpoint

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!