Asghar Ka Lasha Qamar Baltistani Lyrics In Urdu 2023
Asghar Ka Lasha Qamar Baltistani Lyrics
Asghar Ka Lasha Gaud Mein Shabeer Le Chaley.
Aagay Barhey Imam Kabhi Pichey Hat Gaye.
Chullo Mein Hi Sama Gaya Noor-e-Nazar Ka Khoon.
Chehray Pe Hai Mala Howa Lakht-e-Jigar Ka Khoon.
Sabar-e-Hussain Dekh Ke Yaqoob Ro Paray.
Yeh Soch Kar Imam Ke Ruk Jate Hain Qadam.
Kis Tarha Se Sahey Gi Woh Iss Be Zabaan Ka Gham.
Bano Guzar Na Jaye Kahin Lasha Dekh Ke.
Madar Samajh Rahi Hai Kahan Door Jaein Gay.
Pani Gaye Hain Peenay Abhi Laut Aaein Gay.
Shah Kaisay Bolein Maa Se Keh Asghar Nahi Rahe.
Shah Ne Utha Li Dasht Se Akbar Jawaan Ki Lash.
Uthti Nahi Hussain Se Iss Be Zabaan Ki Lash.
Bazu Larazne Lagtay Hain Bekas Hussain Ke.
Apni Abba Hata Ke Kabhi Lash Se Sawal.
Tum Teer Kha Ke So Gaye Maqtal Mein Mere Lal.
Ab Kya Kahon Rubab Se Aye Mere Ladlay.
Qassab Nehar Kartay Hain Naqay Ko Jis Tarha.
Che Mah Ka Sagheer Howa Zibha Iss Tarha.
Tora Dil-e-Hussain Ko Seh Shoba Teer Se.
Maqtal Ki Simt Dekh Rahi Hai Woh Bar Bar.
Dar Par Khari Sakina Bhi Karti Hai Intezar.
Serab Hoga Bhai Ossay Bhi Umeed Hai.
Aakhir Khiyam Tak Woh Musafir Pohanch Gaya.
Lasha Dikha Ke Shah Ne :TAKALLUM: Yeh Di Sada.
Umm-e-Rubab Pyasay Hi Asghar Guzar Gaye.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha khuwan: :Qamar Baltistani:
Noha Volume: :Qamar Baltistani 2023-24:
Composition: :Qamar Baltistani:
#AsgharKaLasha
#NohayLyrics
#tajpoint