Shabir Ka Bhai Sarwar Raza Karbalai Lyrics In Urdu and Roman Urdu
شبیرؑ کا بھائی
Jab Barhaye Qadam, Le Ke Mashk-o-Alam.
Roab Jah-o-Hasham, Aa Shabeer Ka Bhai.
Mashk-o-Alam Le Kar Chala, Darya Ki Janib Jab Barha.
Bhagay Sabhi Kehte Yehi, Aaya Sakina Ka Chacha.
Ho Baho Murtaza, Qamat e Mustafa.
Shah Ka Bawafa Aa Shabeer Ka Bhai.
Aagay Agar Jo Aa Gaya, Jaye Ga Jaan Se Ba Khuda.
Shair-e-Khuda Ka Shair Hoon, Kar Doon Ga Sar Tan Se Juda.
Main Hoon Aks-e-Ali, Shair Hoon Zainabi.
Roab Mujh Mein Jali Aa Shabeer Ka Bhai.
Aisi Larai Aafrin, Larza Falak Kanpi Zameen.
Aisi Chalai Taig Keh, Tan Hai Kahin Sar Hai Kahin.
Kaisa Hai Majra, Shamiyon Ne Kaha.
Yeh Hai Qehar-e-Khuda Aa Shabeer Ka Bhai.
Shabeer Ka Ghamkhuwar Hai, Maidaan Mein Be Talwar Hai.
Zainab Ka Yeh Hubdar Hai, Jag Mein Alambardar Hai.
Jab Talak Dam Mein Dam, Roab Jah-o-Hasham.
Hai Nishani Alam Aa Shabeer Ka Bhai.
Mashkeza Jonhi Chid Gaya, Ro Kar Yeh Ghazi Ne Kaha.
Kaisay Main Jaon Laut Kar, Pani Nahi Jo La Saka.
Ro Diya Oss Ghari, Gir Gaya Oss Ghari.
Mar Gaya Oss Ghari Aa Shabeer Ka Bhai.
Rahwar Pe Rahwar Hai, Ghazi Ke Lashay Pe Chaley.
Bolay Keh Koi Na Raha, Shabeer Ab Tanha Hoye.
Kya Ghazab Ho Gaya, Sar Tabhi Kat Gaya.
Naizay Pe Uth Gaya Aa Shabeer Ka Bhai.
:ASIF: Youn Hi Likhtay Raho, :SARWAR: Sada Nohay Parho.
Woh Pyas Mein Mara Gaya, Pyason Ka Tha Jo Aasra.
Tu Wafa Ka Khuda, Ba Khuda Ba Khuda.
Shah Ki Hai Sada Aa Shabeer Ka Bhai.
Poet: :Asif Ali Asif:
Noha Khuwan: :Sarwar Raza Karbalai:
Noha Volume: :Sarwar Raza Karbalai 2023-24:
Composition: :Syed Nadeem Raza Sarwar:
#ShabirKaBhai
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com