Ujala Ho Hi Jata Hai Mukhtar Hussain Fatehpuri Lyrics Urdu 2025
Ujala Ho Hi Jata Hai Mukhtar Hussain Fatehpuri
Andhera Lakh Pehra De Ujala Ho Hi Jata Hai.
Jisay Zahra Se Nisbat Ho Woh Zohrah Ho Hi Jata Hai.
Falak Tu Kya, Zameen Ki Khak Ka Zarrah Bhi Aye Bibi.
Teri Dehleez Par Aa Kar Sitara Ho Hi Jata Hai.
Musalsal Shan-e-Zahra Mein Qaseeda Likhtay Rehne Se.
Qalam Bhi Shehpar e Jibreel Jaisa Ho Hi Jata Hai.
Sand Hai Dehar Ka Sorah, Tere Hathoon Ki Roti Gar.
Koi Khairat Mein Pa Le, Farishta Ho Hi Jata Hai.
Zamana Lakh Izzat Daar Samjhay Syeda Lekin.
Tere Dushman Ko Dekhey Tu, Tabarah Ho Hi Jata Hai.
Kahan Takht-e-Sulemaan Our Kahan Dehleez Zahra Ki.
Sulemaan Se Sar-e-Salman Oncha Ho Hi Jata Hai.
Namak Khawar e Janab-e-Syeda Hai Kaun Rokay Ga.
Koi Mehfil Bhi Ho Charcha Fidak Ka Ho Hi Jata Hai.
Farishtay Teen Din Tak Rotiyaan Pa Kar Yeh Kehte They.
Teri Khairat Par Bibi Guzara Ho Hi Jata Hai.
Unhein Maloom Hi Kab Hai Keh Qismat Izn-e-Zahra Hai.
Jinhein Yeh Bhool Hai Qismat Ka Likha Ho Hi Jata Hai.
Zarorat Our Karam Mein Kya Tawazun Rakha Hai Bibi.
Teri Khairat Par Apna Guzara Ho Hi Jata Hai.
Badaltay Waqt Mein :AKBAR: Zara Sa Hosla Rakhna.
Jahan Haider Ke Dushman Hoon Woh Kofa Ho Hi Jata Hai.
Poet: :Hasnain Akbar:
Manqabat Khuwan: :Mukhtar Hussain Fatehpuri:
Manqabat Volume: :Mukhtar Hussain Fatehpuri 2024-25:
Composition: :Waheed Ul Hasan Kamalvi:
#UjalaHiJataHai
#ManqabatLyrics
#tajpoint