Shahadat e Shahzada Ali Asghar Raza Abbas Lyrics 2023

Shahadat e Shahzada Ali Asghar Raza Abbas Lyrics 2023

Shahadat e Shahzada Ali Asghar Syed Raza Abbas Zaidi.

Shah Jab Lasha-e-Be Sheer Ko Hathoon Pe Liye.
Haye Maidan Se Khaimon Ki Taraf Jane Lagay.
Rah Mein Saat Qadam Aagay Barhey Pichey Hatay.
Apne Zanu Pe Phir Asghar Ka Janaza Rakh Ke.
Kaisay Shabeer Ne Dil Apna Sanbhala Hoga.
Teer Jab Gardan-e-Asghar Se Nikala Hoga.

Khainch Kar Teer Phir Ik Bar Sheh-e-Deen Chaley.
Lash Uthaye Hoye Jab Khaimay Keh Dar Par Pohanchay.
Pardah Khaimay Ka Hatatay Hoye Kuch Dair Rukay.
Yaad Jab Aaein Sakina Tu Yeh Keh Kar Paltay.
Gham Se Mar Jaye Gi Jab Samne Aaye Gi Behan.
Bhai Ka Zakhmi Gala Dekh Na Paye Gi Behan.

Aa Gaye Lasha Liye Khaimon Ke Pichey Sheh-e-Dein.
Bolay Asghar Ki Taraf Dekh Ke Aye Mere Haseen.
Kash Keh Hum Bhi Tere Sath Hi Mar Jate Wahin.
Haye Itna Tu Tujhe Teer Ne Bhi Mara Nahi.
Ran Mein Mara Hai Tujhe Garam Hawa Ne Jitna.
Munh Khula Reh Gaya Pyasa Tha Na Jane Kitna.

Shiddat-e-Dhop Woh Sehra Ki Tapish Lo Ki Chubhan.
Qabar Talwar Se Jab Khod Chukay Shah-e-Zaman.
Rokay Kehne Lagay Phaila Ke Abba Ka Daman.
Kahan Yeh Jalti Zameen Our Kahan Nazuk Sa Badan.
Kabhi Choma Kabhi Seene Se Lagaya Lasha.
Baap Ne Qabar Mein Rakh Rakh Ke Uthaya Lasha.

Ya Ali Keh Ke Jo Phir Qabar Mein Lasha Rakha.
Maa Na Aa Jaye Kayi Bar Yeh Uth Kar Dekha.
Paon Ki Simt Se Tadfeen Ka Aagaz Kiya.
Tan Chupatay Hoye Jab Hath Galay Tak Pohancha.
Bosa Be Sheer Ki Gardan Ka Bari Dair Liya.
Khak Mein Chehra Chupatay Hoye Munh Phair Liya.

Sar Charhaye Gaye Jab Naizon Pe Ik Sar Na Mila.
Khak Mein Naiza Garhatay Hoye Zalim Nikla.
Dhondtay Dhondtay Woh Khaimon Ke Pichey Pohancha.
Mar Kar Naiza Jo Khaincha Tu Badan Sath Aaya.
Ran Mein Jab Umm-e-Rubab Aaein Yeh Manzar Dekha.
Apne Bachay Ka Badan Nook-e-Sina Par Dekha.

Haye :ZEESHAN:-o-:RAZA: Zulm Yahan Bhi Na Ruka.
Jab Taraptay Hoye Be Sheer Ki Maa Ko Dekha.
Oss Ne Naizay Se Badan Khainch Ke Mati Pe Rakha.
Samne Maa Ke Gala Kaat Diya Asghar Ka.
Yeh Laeen Jane Ya Maa Jane Ya Jane Asghar.
Naiza Oss Sar Mein Piroya Tha Ya Phir Naizay Mein Sar.

Poet: :Zeeshan Abidi:
Noha Khuwan: :Syed Raza Abbas Zaidi:
Noha Volum: :Syed Raza Abbas Zaidi 2023-24:
Composition: :Syed Raza Abbas Zaidi:

#ShahadateShahzadaAliAsghar
#NohayLyrics
#tajpoint

Shahadat e Shahzada Ali Asghar Syed Raza Abbas

Shahadat e Shahzada Ali Asghar Raza Abbas Zaidi

Shahadat e Shahzada Ali Asghar Raza Abbas Lyrics 2023 Write Up Poster Image

Shahadat e Shahzada Ali Asghar Raza Abbas Lyrics 2023

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!