Aylan Tha Bashir Ka Maray Gaye Hussain Syed Ali Naqvi Lyrics in Urdu 2023

Aylan Tha Bashir Ka Maray Gaye Hussain Syed Ali Naqvi Lyrics in Urdu 2023

اعلان تھا بشیر کا مارے گئے حُسینؑ

Bad-e-Rehai Jab Safar-e-Wapisi Howa.
Yasrab Ke Pas Qafila Sadaat Ka Ruka.
Oss Dam Basheer Se Yehi Sajjad Ne Kaha.
Jao Madine Walon Ko Do Yeh Khabar Zara.
Zainab Ujar Ke Aayi Hain Logo! Suno Yeh Bain.
Ayelan Tha Basheer Ka Marey Gaye Hussain.
Bola Basheer Shah Ke Dilbar Nahi Rahe.
Pamal Ho Ke Qasim-e-Anwar Nahi Rahe.
Tooti Sina Seene Mein Akbar Nahi Rahe.
Serab Ho Ke Teer Se Asghar Nahi Rahe.
Zainab Ke Dono Lal Bhi Majroh They Shadeed.
Taigon Se Kat Ke Aoun-o-Muhammad Hoye Shaheed.
Ghazi Ke Dono Shaney Badan Se Hoye Juda.
Darya Kinaray Ki Mere Abbas Ne Qaza.
Bhai Bhatijay Betay Sab Ashab-e-Ba Wafa.
Sheh Ne Uthaya Lasha Akelay Har Aik Ka.
Phir Waqt-e-Asar Sirf Sheh-e-Mashreqain They.
Maqtal Mein Zulm-o-Joor Ki Zad Par Hussain They.
Teeron Se Naizon Bhalon Se Sheh Par Sitam Hoye.
Ummat Ne Waar Taigon Se Shabeer Par Kiye.
Zakhmo Ke Bain Zakhm Sheh-e-Deen Ko Lagay.
Maula Hussain Dasht Mein Galtan e Khon They.
Kya Shimar Ne Yeh Ajar-e-Risalat Ada Kiya.
Sajday Mein Sar Hussain Ka Tan Se Juda Kiya.
Ayelan Yeh Basheer Ka Suntay Hi Kar Ke Bain.
Umm Ul-Banin Bolein Bata Kaun Sa Hussain?.
Bola Basheer Sibt e Nabi Shah-e-Mashreqain.
Haider Ka Lal Fatima Zahra Ke Dil Ka Chain.
Bibi Ne Ki Boka Mere Ghazi Ke Jeetay Jee.
Mumkin Nahi Hussain Pe Aanch Aa Sakay Koi.
Bolein Bata Bashir! Keh Jab Yeh Sitam Howa.
Jab Dasht Mein Hussain Ka Kata Gaya Gala.
Ghazi Kahan Tha Kyun Hoi Sarwar Pe Yeh Jafa.
Kya Ran Mein Ki Na Shah Se Abbas Ne Wafa.
Bola Basheer Zakhm-e-Alamdar They Shadeed.
Sarwar Se Pehle Dasht Mein Ghazi Hoye Shaheed.
Lainay Gaye Jo Pani Jarri Soye Alqama.
Paband-e-Hukam-e-Shah-e-Huda Ne Na Ki Wiga.
Nagah Unn Pe Toot Para Lashkar-e-Jafa.
Ik Teer Se Sakina Ka Mashkeza Chid Gaya.
Ghazi Ke Shaney Kat Gaye, Marey Gaye Jarri.
Bin Bazuon Ke Zeen Se Utaray Gaye Jarri.
Umm Ul-Banin Bolein Taraptay Hoye Bashir!.
Takeed Thi Yeh Meri Keh Abbas-e-Ba Zameer!.
Gar Sheh Pe Aanch Aayi Na Bakhshoon Gi Apna Sheer.
Oss Ne Wafa Ki Shah Se Sad Shukar Be Nazeer.
Beton Pe Royon Gi Na :IRAM: Our :ALI: Zara.
Zahra Ko Pursa Doon Gi Sada Main Hussain Ka.
Poetess: :Shumaila Iram:
Noha Khowan: :Syed Ali Naqvi:
Noha Volume: :Syed Ali Naqvi 2023-24:
Composition: :Syed Ali Naqvi:
#MarayGayeHussain
#NohayLyrics
#tajpoint

Leave a Comment

error: Content is protected !!