Qaid e Tanhai Mein Dam Ghutne Laga Hai Lyrics 2010

Qaid e Tanhai Mein Dam Ghutne Laga Hai Lyrics 2010

Qaid e Tanhai Mein Dam Ghutne Laga Hai Ravi Road Lahore Party

Qaid-e-Tanhai Mein Dam Ghutney Laga Hai Mera Aa Ke Seene Se Lagao Baba.
Main Andherey Mein Akeli Hi Na Mar Jaon Kahin Mujh Ko Marne Se Bachao Baba.

Main Teri Yaad Mein Din Raat Youn Tarapti Hoon Jaisay Pinjrey Mein Koi Ghayal Para Ho Panchi.
Maut Ka Khof Hai Sanata Hai Veerani Hai Meri Imdad Ko Aao Baba.

Mujh Ko Adat Hai Tere Seene Pe Sar Rakhne Ki Chain Ki Neend Bhala Kaisay Zameen Par Aaye.
Qaid Khane Mein Tu Parti Hai Bala Ki Garmi Apni Godi Mein Solao Baba.

Mere Dada Ne Reha Kitne Kiye They Qaidi Oss Ki Poti Hoon Magar Qaid Mein Majboor Hoon Main.
Naam Le Kar Tera Roney Nahi Deta Zalim Ab Meri Qaid Churao Baba.

Phophiyon Ke Bhi Bandhay Hath Pas-e-Gardan Hain Woh Bhala Kaisay Meri Aankhon Se Aanso Ponchein.
Be Sahara Hoon Yateemi Ka Kara Mosam Hai Apni Sorat Tu Dikhao Baba.

Yaad Be Sheer Ki Aati Hai Mujhe Sham-o-Sahar Oss Ka Jalta Howa Jhola Bhi Nazar Aata Hai.
Mujhe Mil Jao Mere Marne Se Pehle Aa Kar Sath Akbar Ko Bhi Lao Baba.

Nook-e-Naiza Pe Jo Kartay They Tilawat Maula Jane Kya Soch Ke :AKHTAR: Yeh Sakina Ne Kaha.
Sham Ke Loag Hain Behray Yeh Samajh Saktay Nahi Inn Ko Quraan Na Sunao Baba.

Poet: :Akhtar Hussain Akhtar:
Soz: :Akhtar Hussain Akhtar:
Noha Khuwan: :Ravi Road Lahore Party:

#QaideTanhaiMein
#NohayLyrics
#tajpoint

Qaid e Tanhai Mein Dam Ghutne Laga Hai Lyrics 2010 Write Up Poster Image

Qaid e Tanhai Mein Dam Ghutne Laga Hai Lyrics 2010

Video Link
error: Content is protected !!