Maa Sonati Thi Sakina Ko Kahani Qaid Mein Lyrics 2022
Maa Sunati Thi Sakina Ko Kahani Qaid Mein
Aik Shahzadi Ki Guzri Zindagani Qaid Mein.
Jis Ka Mashkeza Bana Tha Aab-e-Kausar Ke Liye.
Roti Thi Woh Janwar Serab Hotey Dekh Ke.
Koi Deta Na Tha Peenay Ko Bhi Pani Qaid Mein.
Chaar Barson Ki Zaeefa Ka Howa Kuch Aisa Haal.
Iss Ka Dewaron Ko Thamay Bin Howa Chalna Mohal.
Par Gayi Thi Rasam Dadi Ki Nibhani Qaid Mein.
Maa Yeh Ro Ke Kehti Jageer Sari Lut Gayi.
Arsh Se Le Kar Madine Tak Ke Malik They Wohi.
Aik Shehzada Hai Ab Inn Ki Nishani Qaid Mein.
Jis Ke Ghar Se Le Ke Jate They Farishtay Rotiyaan.
Be Saro Saman Thin Zindaan Mein Oss Ki Betiyaan.
Kaisay Kartin Hind Ki Woh Mezbani Qaid Mein.
Kehti Thi :AKBAR: Sakina Maa Ke Bazu Chom Kar.
Aap Ki Baton Se Ab Mujh Ko Yehi Lagta Hai Dar.
Par Na Jaye Inn Ko Maiyyat Ik Chopani Qaid Mein.
Poet: :Hasnain Akbar:
Soz: :Sheraz Khan:
Matami Sangat :Markazi Matami Dasta MSO Sialkot:
Noha Khuwan: :Miran Bahadur Party:
#MaaSunatiThi
#NohayLyrics
#tajpoint