Nigheban e Risalat Mohsin Naqvi Lyrics 2023
Nigheban e Risalat Mohsin Naqvi Lyrics
Woh Haqeeqi Mard-e-Momin, Paikar-e-Azam-o-Sabaat.
Jis Ne Thokar Se Ulat Di Bo Lahab Ki Kainat.
Zamin Azm-e-Payamber Ban Gayi Jis Ki Hayat.
Jis Ke Bachoon Ki Wirasat They Jahan Ke Mojzaat.
Jis Ne Rakh Li Aabro Insaniyat Ke Naam Ki.
Jis Ne Lut Kar Parwarish Ki Na Tawaan Islam Ki.
Jis Ki Aagosh-e-Muhabbat Mein Pali Paygambari.
Jis Ne Bakhshi Aadmiyat Ko Falak Tak Bartari.
Dafan Kar Di Jis Ne Istabdad Ki Garat Gari.
But Tarashi, But Parasti, But Nawazi, But Gari.
Jis Ne Bakhshi Thi Tujhey Tauqeer e Irfaan Yaad Kar.
Aye Bani Aadam Abu Talib Ke Ahsaan Yaad Kar.
Shaikh-e-Batha, Nasir-e-Dein, Syed-e-Aali Nasab.
Behar-e-Ilm-o-Fazal-o-Shehar-e-Jood-o-Maiyar-e-Adab.
Pa Liye Jis Ne Ramooz e Aadmiyat Be Talab.
Jis Ki Haibat Se Laraztay They Khad-o-Khal e Arab.
Woh Sakhi Jo Askhiya Mein Misal Apni Aap Tha.
Woh Bahadur Jo Shujat Mein Ali Ka Baap Tha.
Woh Nabowat Ka Musaddiq Woh Okhowat Ka Maddar.
Jis Ne Bakhsha Zoaf-e-Insani Ko Yazdaan Ka Waqar.
Woh Mizaj-e-Ashti Ki Saltanat Ka Tajdar.
Jis Ki Naslon Mein Nihaan Thi Qowat-e-Parwardigar.
Hosla Jis Ka Mizaj-e-Azm-e-Sarwar Ho Gaya.
Jis Ki Sheh Rag Ka Lahu Phaila Tu Haider Ho Gaya.
Jis Ke Chehray Pe Farozaan Thi Shujat Ki Shafaq.
Jis Ki Aankhon Mein Rawaan Thi Aadmiyat Ki Ramq.
Jis Ki Peshani Thi Tareekh-e-Sadaqat Ka Warq.
Woh Abu Talib Jisay Matloob Tha Irfan-e-Haq.
Jis Ne Seene Se Lagaya Hadisoon Ko Jhoom Ke.
Cha Gaya Jo Zindagi Par Maut Ka Munh Chom Ke.
Woh Nigehdar e Muhammad, Woh Nighiban e Haram.
Woh Jholastay Regzaron Ke Liye Abar-e-Karam.
Woh Arab Zadoon Ke Lehjay Mein Anees e Mohtaram.
Woh Shabistan e Risalat Mein Charagaan Ka Bharam.
Aya-e-Tatheer Hai Jis Ke Gharanay Ke Liye.
Jis Ki Nasleen Kat Gayin Haq Ko Bananey Ke Liye.
Jis Ke Sang-e-Dar Pe Jhukti Ho Zamane Ki Jabeen.
Jis Ka Paikar Ho Payamber Ki Sadaqat Ka Ameen.
Jis Ki Qurbat Mein Sakoon Paye Imam Ul Mursaleen.
Woh Bhatak Jaye Reh e Haq Say? Nahi Mumkin Nahi.
Oss Ki Hasti Ko Khuda Ki Shan Kehna Chahiye.
Oss Ki Jaan Ko Mehwar-e-Eman Kehna Chahiye.
Jis Ne Har Mushkil Mein Ki Ho Waris-e-Dein Ki Madad.
Jis Ki Gard-e-Pa Ko Chomey Fatima Bint-e-Asad.
Jo Ali Se Mehdi-e-Dein Tak Imamat Ki Ho Jad.
Jis Ke Betay Ko Mili Ho Kul e Emaan Ki Sand.
Kaun Kehta Hai Keh Oss Ke Dil Mein Jazb e Dil Na Tha.
Kaun Kehta Hai Keh Woh Khud Momin e Kamil Na Tha.
Jis Ke Lab Sar Chashma e Ijaz-e-Sad Hamd-o-Darood.
Jis Ke Lehjay Mein Khumar e Aya-e-Haq Ka Darood.
Jis Ke Paikar Jalwa e Sad Rang Ki Jaye Namod.
Toor Dalein Jis Ne Asar-e-Jehal Ki Sari Qayod.
Jis Ki Sehba e Tafaqur Afiyat Aamaiz Thi.
Jis Ke Ahsas-e-Ana Ki Lau Qayamat Kheiz Thi.
Jis Ki Peshani Ka Bal, Moj e Gharor-e-Kirdgar.
Jis Ke Abro Ki Kamaan Ho Gardish-e-Lail-o-Nihar.
Woh Yadullah Ka Padar, Woh Mustafa Ka Iftikhar.
Jis Ko Dharti Par Mila Ho Muflisi Mein Iqtidar.
Jis Ke Potay Ka Zameen Par Muqtadi Esa Banay.
Kya Kahon Mehshar Mein Oss Ka Martaba Kya Kya Banay.
Woh Shaoor-o-Ilm-o-Hikmat Ka Haqeeqi Imtezaj.
Jis Ke Farq-e-Naaz Par Jachta Ho Sardari Ka Taj.
Yeh Bhi Kya Kam Hai, Bashar Ki Aadmiyat Ka Mizaj.
Aaj Tak Shaib e Abi Talib Ko Deta Hai Khiraaj.
Kis Ko Andaza Hai Oss Ki Azmat-e-Eman Ka.
Bani e Islam Khud Mamnon Hai Imran Ka.
Aye Moarrikh Waqt Ke Magror Kirdaron Se Poch.
Poch, Tareekh-e-Arab Ke Sab Sitam Garoon Se Poch.
Karbala Mein Totti Be Loch Talwaron Se Poch.
Sham Ki Galiyon Se, Chorahon Se, Bazaron Se Poch.
Zurriyat Kis Ki Yazeedi Hoslon Par Cha Gayi?
Kis Ki Poti Zulm-o-Istabdad Se Takra Gayi?.
Bool Aye Tareekh Ke Zindah Usolon Ki Zubaan.
Kis Ke Baam-o-Dar Se Takrati Rahi Hain Bijliyaan?
Kaun Batil Ke Muqabil Aaj Tak Hai Kamraan?
Soye Kofa Pabejolaan Tha Woh Kis Ka Karwaan?
Kis Ne Sadmon Ko Sada Di Haq Pasandi Ke Liye?
Kis Ka Ghar Ujra Tha Dein Ki Sar Bulandi Ke Liye?
Poet: :Mohsin Naqvi Shaheed:
#NighebaneRisalat
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Hazrat Abu Talib Manqabat Nigheban e Risalat Mohsin Naqvi Lyrics