Ali Ki Khatir Abbas Haider Lalji and Yusuf Okera Lyrics In Urdu

Ali Ki Khatir Abbas Haider Lalji and Yusuf Okera Lyrics In Urdu

علیؑ کی خاطر

Banai Khaliq Ne Sari Dunya Ali Ki Khatir.
Yeh Behas Ab Chor Do Hai Kya Kya Ali Ki Khatir.
Woh Arsh Par Hai Rajab Ki Terah Ali Ki Khatir.
Ali Hai Kabay Mein Aane Wala Ali(Jala Jalalahu) Ki Khatir.
Wahan Talak Hai Zaror Chokhat Ali Ke Ghar Ki.
Jahan Se Soraj Palat Ke Aaya Ali Ki Khatir.
Kuch Iss Tarha Daar Par Tha Meesum Ka Chehra Roshan.
Keh Jaisay Ho Aik Chand Nikla Ali Ki Khatir.
Aray Muqassir Na Parh Tu Quran Dekh Iss Mein.
Jagah Jagah Hai Likha Qaseeda Ali Ki Khatir.
Nahi Keh Bas Jibraeel Quran Hi Tha Lata.
Kabhi Kabhi Tha Faqat Woh Aata Ali Ki Khatir.
Ali Ka Hai Ikhteyar Kitna Yeh Unn Se Pocho.
Jo Mar Ke Zindah Hoye Dobarah Ali Ki Khatir.
Woh Saib Jis Mein Tha Nisf Noor-e-Batool Woh Bhi.
Hai Ban Ke Phir Zulfiqar Utra Ali Ki Khatir.
Banaya Jab Oss Ne Fizza Ko Fatima Ki Khatir.
Khuda Ne Salman Bhi Banaya Ali Ki Khatir.
Ali Ka Shia Banay Ga Kab Tak “Khud Apni Khair”.
“ASAD Bas Ab Ban Ali Ka Shia Ali Ki Khair”
Poet: :Asad Ali Asad:
Manqabat Khuwan: :Abbas Haider Lalji and Yusuf Okera:
Manqabat Volume: :Abbas Haider Lalji and Yusuf Okera 2023-24:
Composition: :Abbas Haider Lalji and Yusuf Okera:
#AliKiKhatir
#ManqabatLyrics
#tajpoint

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!