Bata Rahe Hain Ali Abbas Haider Lalji Lyrics Urdu 2025
Bata Rahe Hain Ali Abbas Haider Lalji.
Khula Jo Kabay Ka Dar Noor Ik Nikal Aaya.
Woh Noor Dekhtey Hi Mosa Ne Yeh Farmaya.
Tha Kis Ka Toor Pe Jalwa Bata Rahe Hain Ali.
Khuda Ke Ghar Se Yeh Bahir Jo Aa Rahe Hain Ali.
Daleel-e-Natiq-e-Quran Iss Ko Kehte Hain.
Nabi Ko Aate Hi Quraan Suna Rahe Hain Ali.
Tu Kaisay Sorat-e-Aadam Na Khobsorat Ho.
Khuda Ke Hathoon Se Oss Ko Bana Rahe Hain Ali.
Woh Main Tha Jis Ne Madad Ki Thi Aap Ki Ik Din.
Nishani Maa Ko Dikha Kar Bata Rahe Hain Ali.
Zara Sa Parda e Arsh-e-Khuda Hatatay Hoye.
Hamari Aankhon Se Parday Hata Rahe Hain Ali.
Ho Koi Uth Ke Lehad Se Woh Aaye Ga Foran.
Sada Lagaein Jo Salmaan Bola Rahe Hain Ali.
Halal Zadoon Ne Hona Hai Unn Ki Naslon Se.
Yeh Apni Taig Se Jin Ko Bacha Rahe Hain Ali.
Dar Asal Nehj-e-Balaga Zaban-e-Zainab Hai.
Yeh Shehar-e-Sham Mein Khutba Suna Rahe Hain Ali.
:ASAD: Batool Ke Qadmo Pe Rakh Ke Apne Qadam.
Hazaron Razoon Se Pardah Utha Rahe Hain Ali.
Poet: :Asad Ali Asad:
Manqabat Khuwan: :Abbas Haider Lalji:
Manqabat Volume: :Abbas Haider Lalji 2024-25:
Composition: :Abbas Haider Lalji:
#BataRaheHainAli
#ManqabatLyrics
#tajpoint