Hum Log Margaye Mir Hasan Mir Lyrics Urdu 2024
Hum Log Margaye Mir Hasan Mir Lyrics
Kaun Pohanchaye Ga Ab Rizq Ali Zakhmi Hain.
Aaj Kofay Ke Yateemo Ki Khuda Khair Karey.
Kofay Mein Gonjti Hai Sada Har Yateem Ki.
Hum Loag Mar Gaye Tere Marne Se Ya Ali.
Uneeswin Ki Subha Qayamat Ki Thi Khabar.
Faqay Hain Teen Roz Se Hum Be Kason Ke Ghar.
Dunya Se Tum Gaye Tu Yeh Dunya Badal Gayi.
Kehta Hai Har Yateem Keh Tanha Na Choriye.
Le Jaein Mujh Ko Sath Akela Na Choriye.
Kofay Mein Hum Gareebon Ka Baqi Nahi Koi.
Nabina Ik Zaeef Yeh Kehta Hai Barha.
Ab Kaun Mujh Ko Hathoon Se Khana Khilaye Ga.
Aaye Ga Kaun Pochne Ab Khairiyat Meri.
Le Kar Pyalay Sheer Ke Aaye Yateem Sab.
Roye Hasan Se Mil Ke Yateman e Kofa Jab.
Darwaza e Ali Pe Qayamat Bapa Hoi.
Har Haal Mein Sanbhalne Wala Chala Gaya.
Ghurbat Mein Hum Ko Palney Wala Chala Gaya.
Kis Tarha Se Bholaein Kareemi Imam Ki.
Pehle Hi Muztarib Thi Tabiyat Hussain Ki.
Yaad Aa Gayi Imam Ko Phir Apni Ladli.
Dar Par Sada Jo Kofay Ke Bachoon Ne Aa Ke Di.
Bahir Jo Ghar Se Aaya Janaza Imam Ka.
Roney Se Ahl-e-Bait Ke Kofa Larz Gaya.
Charon Taraf Se Aati Thi Aawaz Bas Yehi.
Yeh Kaun Bibi Hai Jo Janazay Ke Sath Hai.
Jhuk Jhuk Ke Chal Rahi Hai Woh Pehlu Pe Hath Hai.
Kya Fatima Yeh Sun Ke Madine Se Aa Gayi.
Maein Yeh Keh Ke :MIR TAKALLUM: Hoin Nidhal.
Rakhtay They Inn Yateemo Ka Kitna Ali Khiyal.
Mehsos Ho Gi Bachoon Ko Ab Baap Ki Kami.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2023-24:
Composition: :Raza Shah:
#HumLogMargaye
#NohayLyrics
#tajpoint
21 Ramzan New Noha Hum Log Margaye Mir Hasan Mir Lyrics