Sath Zainab Ka Fizza Ne Musibat Mein Nibhaya Lyrics 2010

Sath Zainab Ka Fizza Ne Musibat Mein Nibhaya Lyrics 2010

Sath Zainab Ka Fizza Ne Musibat Mein Nibhaya

Aoulad-e-Ali Ne Bhi Bandi Na Kabhi Samjha Maa Keh Ke Bulaya.

Karbala Ho Ya Keh Kofa Ho Darbar-e-Yazeedi Ho.
Zainab Ke Khulay Sar Pe Chadar Ki Tarha Logo Fizza Ka Tha Saya.
Cheen Li Sar Se Jo Zainab Ke Ummat Ne Rida Aa Ke.
Magmoma Ne Fizza Ki Bosedah Abba Mein Hi Chehra Tha Chupaya.
Taj Our Takht Ko Chor Aayi Zahra Ki Muhabbat Mein.
Har Zulm-o-Sitam Jhaila Zahra Ke Lutay Ghar Pe Kara Waqt Jo Aaya.
Takht Par Betha Sharabi Jo Mokhatib Howa Zainab Se.
Tab Cheekh Uthi Fizza Zalim Ne Jo Bibi Ko Toon Keh Ke Bulaya.
Khainch Lein Josh Mein Talwarein Ab Shah Ke Sipahiyon Ne.
Habsha Ki Hoon Shehzadi Darbar Mein Jab Ro Ke Fizza Ne Bataya.
Iss Zaeefi Mein Zaeefa Ne Jawani Ka Samaa Bandha.
Jaltay Hoye Khaimay Se Beemar Ali Abid Ko Kandhoon Pe Uthaya.
Boli Farwa Main Tujhey Kya Doon Inam Ghareebi Mein.
Fizza Tu Ne Qasim Ko Inn Kanptay Hathoon Se Sehra Hai Lagaya.
Khak Ne Dhanp Liya :AKHTAR: Baloon Ki Safaidi Ko.
Jab Tak Yeh Rahi Zindah Iss Khak-e-Safar Ko Hi Burqa Hai Banaya.
Poet: :Akhtar Hussain Akhtar:
Soz: :Akhtar Hussain Akhtar:
Noha Khuwan: :Ravi Road Lahore Party:
#SathZainabKaFizzaNe
#NohayLyrics
#tajpoint

Sath Zainab Ka Fizza Ne Musibat Mein Nibhaya Lyrics 2010 Write Up Poster Image

Sath Zainab Ka Fizza Ne Musibat Mein Nibhaya Lyrics 2010

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!