Abal Hasan Mola Shah e Khurasan Mir Hasan Lyrics 2024
Abal Hasan Mola Shah e Khurasan Mir Hasan Mir.
Zamin-e-Aaho Raza, Shafa e Rooz-e-Jaza,
Ashiq-e-Karb-o-Bala, Jan-o-Dil-e-Fatima.
Abal Hasan Maula, Abal Hasan Maula, Abal Hasan Maula Shah-e-Khurasan.
Aap Sakhi Ibn-e-Sakhi Aap Rauf-o-Rehman.
Hai Tere Darbar Ki Yeh Shan Nirali.
Jata Nahi Hai Kabhi Yaan Se Koi Khali.
Dast-e-Khuda Ban Ke Sada Kartay Hain Sab Pe Ahsan.
Parhta Hoon Jis Waqt Main Anamta Alaihim.
Dil Se Sada Aati Hai Aye Izzat-e-Qayam.
Teri Wila De Ke Kiya Hum Pe Khuda Ne Ahsan.
Maula Bohat Din Hoye Dekhey Hoye Jannat.
Phir Se Atta Kijiye Mujhe Izn-e-Ziyarat.
Door Haram Aankhein Hain Nam Meri Nikalti Hai Jan.
Din Mein Nazar Aa Gaye Mufti Ko Sitarey.
Bhool Gaya Yaad They Jitne Bhi Siparay.
Ghoor Se Jab Oss Ne Parha Sorah-e-Aal-e-Imran.
Arz Hai Yeh Aap Se Aye Maula Raza Jan.
Aap Ke Dada Ka Ho Kuch Hum Ko Bhi Irfan.
Koi Warq Koi Sabaq Garchay Parha Dein Salman.
Roz Hi Hum Tera Namak Khatay Hain Maula.
Khas Muzeef Apne Magar Tum Ne Bulaya.
Hai Yeh Atta Shukar-e-Khuda Hum Hoye Tere Mehman.
Kalma-e-Haq Qala e Tauheed e Jali Hai.
Oss Mein Magar Dakhilay Ki Shart Ali Hai.
Hai Ba Khuda Likha Howa Dil Pe Mere Yeh Farman.
Qum Ki Ziyarat Ko Jo Logo Kabhi Jana.
Madh-e-Raza Ja Ke Kareema Ko Sunana.
Bibi Tumhein Dein Gi Dua Sun Ke Baradar Ki Shan.
Hum Ko Sada Aap Ne Maula Hai Sanbhala.
Ranj Se Mushkil Se Balaon Se Nikala.
Le Ke Khabar Bar e Digar Kijiye Mushkil Aasan.
Jari Rahein Aal-e-Muhammad Ki Ataein.
:MIR HASAN MIR: Karo Tum Yeh Duaein.
Meri Tarha Sab Pe Hoon Yeh Bhai Behan Meharban.
Poet: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2023-24:
Composition: :Muhammad Raza Nasiri (Mashad):
Zahoor Mula Imam Raza(AS)
11 Zilqad 1445 Hijri 2024
#AbalHasanMolaShaheKhurasan
#ManqabatLyrics
#tajpoint
New Manqabat Abal Hasan Mola Shah e Khurasan Mir Hasan Mir