Gira Abbas Tha Askari Hassan Zaidi Lyrics Urdu 2024
Gira Abbas Tha Askari Hassan Zaidi
Teer Tha Aankhon Mein Bazu Ka Sahara Bhi Na Tha.
Zeen Se Kaisay Khuda Jane Gira Abbas Tha.
Gir Paray Shabbir Lashay Par Yehi De Kar Sada.
Zeen Se Kaisay Khuda Jane Gira Abbas Tha.
Iss Qadar Mazloom Ko Teer-o-Sina Marey Gaye.
Alqama Par Tukray Ghazi Ke Bikhar Kar Reh Gaye.
Lasha-e-Ghazi Bhi Asghar Ki Tarha Lagne Laga.
Zeen Se Kaisay Khuda Jane Gira Abbas Tha.
Kaisay Abid Ko Bataon Haye Woh Beemar Hai.
Ab Wohi Pardah Hai Our Woh Qafila Salar Hai.
Iss Ko Main Kaisay Bataon Bawafa Mara Gaya.
Zeen Se Kaisay Khuda Jane Gira Abbas Tha.
Ho Gaya Abbas Jis Dam Be Sahara Hath Se.
Jis Ka Dil Chaha Ossi Ne Barh Ke Mara Hath Se.
Khud Bakhud Girney Lagi Tab Sar Se Zainab Ki Rida.
Zeen Se Kaisay Khuda Jane Gira Abbas Tha.
Be Watan Pyasi Sakina Bhi Bohat Hasas Hai.
Aaein Gay Darya Se Ammo Iss Ko Ab Tak Aas Hai.
Ja Ke Beti Se Main Ya Rab Yeh Nahi Keh Paon Ga.
Zeen Se Kaisay Khuda Jane Gira Abbas Tha.
Joor Kar Hathoon Ko Zainab Bhai Se Karti Hai Bain.
Ab Mere Parday Ka Zamin Kaun Hai Maula Hussain.
Jab Mere Ghazi Ko Koi Thamnay Wala Na Tha.
Zeen Se Kaisay Khuda Jane Gira Abbas Tha.
Hai Yeh Fitrat Ka Taqaza Keh Koi Girta Hai Tu.
Oss Ko Milta Hai Sahara Jis Ke Tan Par Hath Ho.
Haye Oss Salar Ke They Ho Gaye Bazu Juda.
Zeen Se Kaisay Khuda Jane Gira Abbas Tha.
Poet: :Arif Sahaab:
Noha Khuwan: :Askari Hassan Zaidi:
Noha Volume: :Askari Hassan Zaidi 2024-25:
Composition: :Zafar Hussain Abidi:
#GiraAbbasTha
#NohayLyrics
#tajpoint