Ali Ko Zakhm Bawaqt e Sahar Lagaya Askari Hassan Zaidi Lyrics In Urdu

Ali Ko Zakhm Bawaqt e Sahar Lagaya Askari Hassan Zaidi Lyrics In Urdu

علیؑ کو زخم بوقتِ سحر لگایا گیا

Ali Roney Lagey Shahid Baltistani Lyrics In Urdu

Ali Ko Zakhm Bawaqt-e-Sahar Lagaya Gaya.
Khuda Ke Ghar Mein Namazi Ka Khoon Bahaya Gaya.
Chalai Taig Kuch Iss Tarha Ibn-e-Muljam Ne.
Rawaan Hai Khon Ki Ik Dhaar Sar Se Haider Ke.
Bapa Hai Hashar Hidayat Ka Rukan Dhaya Gaya.
Namaz Karti Thi Giriya Udas Tha Sajdah.
Shigaf Sar Tha Lahu Mein Libas Bhi Tar Tha.
Ali Ko Haye Musallay Se Jab Uthaya Gaya.
Khuda Ke Deen Ke Mah-e-Tamam Ka Matam.
Namaziyon Mein Bapa Hai Imam Ka Matam.
Ali Ka Soag Farishton Mein Bhi Manaya Gaya.
Bapa Hai Kofay Har Ghar Mein Karb Se Mehshar.
Jabeen Pa Zakhm Laga Hai Ali Hain Khon Mein Tar.
Nabi Ki Aal Ko Yeh Kaisa Din Dikhaya Gaya.
Lahu Mein Dobi Hai Mehrab Aaj Masjid Ki.
Kiya Hai Sajday Mein Shair-e-Khuda Ka Sar Zakhmi.
Nabi Se Wadah e Ulfat Ko Youn Nibhaya Gaya.
Hasan Hussain Uratay Hain Khak Gham Hai Bapa.
Tarap Ke Zainab-o-Kulsoom Kar Rahi Hain Boka.
Nabi Ki Aal Ka Kofay Mein Khoon Bahaya Gaya.
Pukarein Zainab-o-Kulsoom Peet Kar Chehra.
Lehad Mein So Gaye Ab Hum Ko Chor Kar Baba.
Aye Amma Fizza Yateema Humein Banaya Gaya.
Jo Dekha Baap Ke Sar Se Lahu Ko Behtay Hoye.
Zameen Pe Baith Ke Abbas Khak Oranay Lagay.
Ghareeb Ho Gaye Kofay Mein Dil Dukhaya Gaya.
Nabi Ki Aal Ko Ummat Ne Kar Diya Mazloom.
Zameen Pe Gir Gayi Gash Kha Ke Zainab-o-Kulsoom.
Lahu Mein Doba Ali Ko Jo Ghar Mein Laya Gaya.
Karein Gay :ASKARI: Giriya Ghamo Se :MIR HILAL:.
Barhey Ga Furqat-e-Haider Mein Dil Ka Ranj-o-Malal.
Ali Ka Farsh-e-Azza Har Taraf Bichaya Gaya.
Poet: :Mir Hilal Rizvi:
Noha Khuwan: :Syed Askari Hasan Zaidi:
Noha Volume: :Syed Askari Hasan Zaidi 2023-24:
Composition: :Raza Shah:
#AliKoZakhm
#NohayLyrics
#tajpoint
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!