Haan Yehi Maa Hai Ali Akbar Ki Muhammad Raza Mungla Lyrics 2024
Haan Yehi Maa Hai Ali Akbar Ki Muhammad Raza Mungla.
Jis Ne Rakha Hai Hath Seene Par.
Haan Yehi Maa Hai Ali Akbar Ki.
Ro Ke Kehti Hai Haye Ali Akbar.
Haan Yehi Maa Hai Ali Akbar Ki.
Sun Ke Aawaz Azaan Our Tarap Jati Hai.
Yaad Hum Shakal-e-Payamber Ki Ossay Aati Hai.
Ro Rahi Hai Azan Sun Sun Kar.
Haan Yehi Maa Hai Ali Akbar Ki.
Dard Betay Ke Bicharne Ka Nazar Aata Hai.
Dekhtey Hain Jo Rukh Pak Tu Yeh Lagta Hai.
Jaisay Barchi Se Kat Gaya Hai Jigar.
Haan Yehi Maa Hai Ali Akbar Ki.
Balwa Aam Mein Youn Pardah Banaya Apna.
Khon Chehray Pe Lagaya Hai Ali Akbar Ka.
Orh Rakhi Hai Dard Ki Chadar.
Haan Yehi Maa Hai Ali Akbar Ki.
Chalta Jata Hai Jahan Iss Ke Jawaan Lal Ka Sar.
Sath Nezay Ke Chali Jati Hai Iss Ki Bhi Nazar.
Loag Pehchan Letey Hain Aksar.
Haan Yehi Maa Hai Ali Akbar Ki.
Karbala Mein Jo Maqam-e-Ali Akbar Pe Gaya.
Aik BiBi Ke Sisakney Ki Sadaon Ko Suna.
Mustaqil Aaj Bhi Hai Noha Gar.
Haan Yehi Maa Hai Ali Akbar Ki.
Khon Mein Dobi Hoi Lash Jawaan Dekhi Hai.
Apne Farzand Ke Seene Mein Sina Dekhi Hai.
Samne Jis Ke Mar Gaya Hai Pisar.
Haan Yehi Maa Hai Ali Akbar Ki.
Kitna Pyara Tha Inhein Apna Jawaan Lal :RAZA:.
Haye Oss Dard Ka Ahsas Hai Kitna Gehra.
Zindagi Bhar Rahi Jo Khak Basar.
Haan Yehi Maa Hai Ali Akbar Ki.
Poet: :Raza Shah:
Noha Khuwan: :Muhammad Raza Mungla:
Noha Volume: :Muhammad Raza Mungla 2024-25:
Composition: :Raza Shah:
#HaanYehiMaaHai
#NohayLyrics
#tajpoint