Haye Hussain Ibn Ali Nadeem Sarwar Lyrics Urdu 2024
Haye Hussain Ibn Ali Nadeem Sarwar.
Haye Hussain Ibn-e-Ali.
Hussaina Hussaina Mazloom-e-Karb-o-Bala.
Hussain Hussain Ya Hussain Ya Hussain Jan Hussain.
Sada Rahe Gi Tumhari Yeh Azadari Haye Hussain Ibn-e-Ali.
Dilon Mein Gham Ho Labon Par Ho Sada Jari Haye Hussain Ibn-e-Ali.
Hum Rahein Yaan Na Rahein Gham Yeh Aabad Rahe.
Har Qadam Karb-o-Bala Dam Ba Dam Yaad Rahe.
Jab Talak Sans Chaley Jab Talak Jan Rahe.
Silsila Jari Rahe Sheh Ka Matam Na Rukay.
Dilon Mein Yaad Rahe Hamesha Tumhari.
Woh Hussain Ibn-e-Ali Dilbar-e-Sallay Ala.
Jo Sar-e-Karb-o-Bala Be Khata Mara Gaya.
Apna Sab Dein Ke Liye Jis Ne Qurban Kiya.
Pyasa Dunya Se Gaya Be Kafan Bhi Jo Raha.
Zamana Karta Rahe Ga Yeh Aah-o-Zaari.
Kehta Hai Sara Jahan Badshah Ast Hussain.
Kehte Hain Peer-o-Jawaan Rehnuma Ast Hussain.
Hai Yehi Wird-e-Zabaan Dein Panah Ast Hussain.
Keh Rahi Hai Yeh Azaan LaIlaha Ast Hussain.
Sitam Hai Aap Si Hasti Pe Sitam Gari.
Jab Sakina Ne Kaha Haye Pyasay Hain Chacha.
Pani Laney Ke Liye Phir Alamdar Gaya.
Shoor Darya Pe Howa Ba Wafa Mara Gaya.
Haye Matam Tha Bapa Gonji Zainab Ki Sada.
Akela Reh Gaya Aada Mein Mera Bhai.
Oss Ka Matam Hai Bapa Jis Ki Hai Karb-o-Bala.
Kalma Quraan Ke Liye Jis Ne Sab Waar Diya.
Jis Ka Akbar Na Raha Jis Ka Asghar Na Raha.
Jis Ka Ghazi Na Raha Jis Ka Lashkar Na Raha.
Asar Ka Waqt Tha Our Tumhari Tanhai.
Baad Sheh Kya Na Howa Pocho Zainab Se Zara.
Jis Ne Bhai Ki Tarha Har Sitam Dil Pe Saha.
Kabhi Bazar-e-Jafa Kabhi Darbar-e-Jafa.
Jis Ne Khutbon Se Sada Sheh Ka Gham Zindah Rakha.
Hai Aaj Bhi Yehi Zainab Ki Sada Jari.
Poet: :Jawad Jafri, Nadeem Sarwar:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2024-25:
Composition: :Nadeem Sarwar, Ali Shanawar, Ali Ji:
#HayeHussainIbnAli
#NohayLyrics
#tajpoint