Ana Ibne Makka o Mina 2 Nadeem Sarwar Lyrics Urdu 2012

Ana Ibne Makka o Mina 2 Nadeem Sarwar Lyrics Urdu 2012

Ana Ibne Makka o Mina 2 Nadeem Sarwar.

Ahl-e-Insaf Ab Insaf Se Itna Keh Dein.
Jis Ki Chokhat Pe Salami Ko Farishtay Utrein.
Nook-e-Naiza Se Laeen Unn Ki Ridaein Lotein.
Tum Ne Khaimay Nahi ALLAH Ka Ghar Khak Kiya.
Kalma Parh Parh Ke Muhammad Ka Jigar Chak Kiya.
Ana Ibn-e-Maka-o-Mina, Ana Ibn-e-Zam Zam-o-Safa, Ana Ibn-e-Ali-o-Fatima.

Jis Ke Parday Ke Liye Aayat-e-Tatheer Aaye.
Sang Barsatay Hoye Unn Pe Yahan Tak Laye.
Haif Hai Roh-e-Muhammad Se Na Tum Sharmaye.
Hum Ne Paband-e-Rasan Ho Ke Tujhe Mara Hai.
Ibn-e-Marjana Tu Jeeta Tu Nahi Hara Hai.
Ana Ibn-e-Maka-o-Mina, Ana Ibn-e-Zam Zam-o-Safa, Ana Ibn-e-Ali-o-Fatima.

Baat Jab Khul Gayi Sadaat-e-Muhammad Hain Yahan.
Ro Diye Ahl-e-Jafa Ubhra Bagawat Ka Samaa.
Our Ossi Shoor Mein Hakim Ne Diya Hukam-e-Azaan.
Saat Afrad Jo Yak Musht Azaan Deney Lagay.
Haq Mein Sajjad Ke Darbari Biyaan Deney Lagay.
Ana Ibn-e-Maka-o-Mina, Ana Ibn-e-Zam Zam-o-Safa, Ana Ibn-e-Ali-o-Fatima.

Jab Moazzin Ne Kiya Kalma-e-Takbeer Ada.
Bolay Sajjad Bazurgi Hai Ossi Ko Zaiba.
Jaisay Hi Naam Muhammad Ka Moazzin Ne Liya.
Mur Ke Hakim Se Kaha Tere Iraday Bad Hain.
Yeh Muhammad Hain Tumhare Keh Hamarey Jad Hain.
Ana Ibn-e-Maka-o-Mina, Ana Ibn-e-Zam Zam-o-Safa, Ana Ibn-e-Ali-o-Fatima.

Aib Kyun Apne Chupata Hai Azanein De Kar.
They Agar Tere Muhammad Tu Sitam Kyun Hum Par.
Daal Iss Tauq Pe Zanjeer Pe Ik Bar Nazar.
Zakhm Jo Tu Ne Diye Sab Dil-e-Beemar Mein Hain.
Betiyaan Hain Yeh Muhammad Ki Jo Darbar Mein Hain.
Ana Ibn-e-Maka-o-Mina, Ana Ibn-e-Zam Zam-o-Safa, Ana Ibn-e-Ali-o-Fatima.

Tu Tu Kehta Hai Keh Hai Dhong Naooz Billah.
Na Payamber Na Wahi Aayi Na Quraan Utra.
Phir Azanein Bhi Tu Darbar Mein Hai Dilwata.
Le Munafiq Tere Chehray Se Utarti Hai Naqab.
Jis Ka Munkir Hai Woh Quran Tera Le Ga Hisab.
Ana Ibn-e-Maka-o-Mina, Ana Ibn-e-Zam Zam-o-Safa, Ana Ibn-e-Ali-o-Fatima.

Iss Shaqawat Pe Bhi Hum Harey Nahi Jeet Gaye.
Naam Azano Mein Tumhare Nahi Hum Jeet Gaye.
Kya Yeh Qudrat Ke Isharey Nahi Hum Jeet Gaye.
Yak Bayak Fath-e-Mubeen Sab Ko Nazar Aane Lagi.
Marhaba Syed-e-Sajjad Sada Chanay Lagi.

Bolay Phir Abid-e-Beemar Yeh Izzat Dekhi.
Dekhi Yeh Takht-e-Sitamgar Yeh Izzat Dekhi.
Phir Gaya Tujh Se Yeh Darbar Yeh Izzat Dekhi.
Jis Ka Hami Ho Khuda Kaun Ossay Zillat De.
Izatein Oss Ki Hain ALLAH Jisay Izzat De.

Utray Mimber Se Tu Baba Ke Katay Sar Ne Kaha.
Marhaba Aye Mere Sajjad Ghareeb-e-Zahra.
Mojza :SARWAR-o-REHAN: Falak Ne Dekha.
Keh Khutba-e-Zainab-o-Sajjad Ne Woh Kam Kiya.
Hashar Tak Zikar-e-Hussain Ibn-e-Ali Aam Kiya.

Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2011-12:

#AnaIbneMakkaoMina
#NohayLyrics
#tajpoint

Old Noha Ana Ibne Makka o Mina 2 Nadeem Sarwar

Ana Ibne Makka o Mina 2 Nadeem Sarwar 2011-12

Ana Ibne Makka o Mina 2 Nadeem Sarwar Lyrics Urdu 2012 Write Up Poster Image

Ana Ibne Makka o Mina 2 Nadeem Sarwar Lyrics Urdu 2012

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!