Janaza Uth Raha Hai Fatima Ka Syed Raza Abbas Zaidi 2024
Janaza Uth Raha Hai Fatima Ka Syed Raza Abbas Zaidi.
Waqt-e-Rukhsat Hai Yeh Fatima Ka.
Ho Chuki Hai Namaz-e-Janaza.
Bachay Maiyyat Se Liptay Hoye Hain.
Aakhri Hai Yeh Dedar Maa Ka.
Nahi Hai Koi Ab Apna Ali Ko Chor Kar Tanha.
Ali Ke Ghar Ki Ronaq Ja Rahi Hai.
Janaza Uth Raha Hai Fatima Ka Haye Janaza Uth Raha Hai.
Ali Ke Ghar Ki Ronaq Ja Rahi Hai.
Bohat Zakhmi Thi Khud Lekin Ali Ke Zakhm Bharti Thi.
Utha Kar Hath Pehlu Se Woh Aanso Saaf Karti Thi.
Ab Aanso Kaun Ponchey Ga Bohat Yaad Aaye Gi Zahra.
Ali Ke Ghar Ki Ronaq Ja Rahi Hai.
Bulaya Tha Jisay Maa Ne Kafan Se Hath Phaila Ke.
Ossay Lipta Howa Dekha Tu Fizza Ne Kaha Aa Ke.
Janazay Se Hussain Uth Ja Kafan Ab Chor De Maa Ka.
Ali Ke Ghar Ki Ronaq Ja Rahi Hai.
Kafan Jab Bhi Hatata Hai Tamacha Yaad Aata Hai.
Woh Zakhmi Maa Ka Chehra Chom Ke Aanso Bahata Hai.
Hasan Ko Gham Hai Chehray Par Tamachay Ka Nishaan Le Kar.
Ali Ke Ghar Ki Ronaq Ja Rahi Hai.
Sirhaney Baith Kar Zainab Ne Maa Ka Hath Jab Choma.
Ali Kehne Lagay Dekha Nishaan Jab Taziyane Ka.
Chupa Do Sani-e-Zahra Yeh Zakhmi Hath Zahra Ka.
Ali Ke Ghar Ki Ronaq Ja Rahi Hai.
Na Ab Lori Sunaye Gi Na Woh Jhola Jholaye Gi.
Hussain Ab Fatima Kaisay Tumhein Pani Pilaye Gi.
Wasiyat Kar Gayin Zahra Tumhein Palay Gi Ab Fizza.
Ali Ke Ghar Ki Ronaq Ja Rahi Hai.
Madine Walon Ab Apne Gharon Mein Chain Se Sona.
Sataye Ga Na Ab Tum Ko Nabi Ki Beti Ka Rona.
Gira Tha Jis Pe Jalta Dar Woh Tooti Pasliyaan Le Kar.
Ali Ke Ghar Ki Ronaq Ja Rahi Hai.
Chura Kar Maa Se Bachoon Ko Ali Ne Jab Kafan Bandha.
Tarap Kar Haye :ZEESHAN:-o-:RAZA: Kehne Lagay Maula.
Hai Taza Zakhm Pehlu Ka Zara Aahista Do Kandah.
Ali Ke Ghar Ki Ronaq Ja Rahi Hai.
Poet: :Zeeshan Abidi:
Noha Khuwan: :Syed Raza Abbas Zaidi:
Noha Volum: :Syed Raza Abbas Zaidi 2024-25:
Composition: :Syed Raza Abbas Zaidi:
#JanazaUthRahaHai
#NohayLyrics
#tajpoint