Zehra Ka Janaza Wajhi Hasan Zaidi Lyrics Urdu 2025
Zehra Ka Janaza Wajhi Hasan Zaidi Lyrics
Zahra Ke Janazay Se Yateemo Ko Chura Kar.
Fizza Ne Dilasa Diya Seene Se Laga Kar.
Jab Band-e-Kafan Bandh Chukay Chehra Chupa Kar.
Ro Ro Ke Ali Kehte They Maiyyat Ko Utha Kar.
Hain Tooti Hoi Pasliyaan Aahista Uthana Zahra Ka Janaza.
Yeh Aam Janaza Nahi Hai Pehlu Shikasta Zahra Ka Janaza.
Haan Kitni Woh Mazloom Thi Apne Hi Watan Mein.
Kafnayi Gayi Saat Ridaon Ke Kafan Mein.
Bas Chodah Musalmano Ne Yasrab Mein Uthaya.
Zahra Ka Janaza.
Takleef Ki Shiddat Se Kafan Mein Bhi Hain Aanso.
Dar Girney Se Hai Aaj Bhi Toota Howa Bazu.
Fizza Se Yeh Pochay Koi Keh Zakhmi Hai Kitna.
Zahra Ka Janaza.
Haan Jis Ne Humein Pala Hai Kya Yeh Wohi Maa Hai.
Chehray Pe Nishaan Hath Pe Durray Ka Nishaan Hai.
Munh Phair Ke Roney Lagay Bachoon Ne Jo Dekha.
Zahra Ka Janaza.
Beta Woh Abhi Rasta Bhola Hi Kahan Tha.
Qunfuz Ne Jahan Zahra Ko Mara Tha Tamacha.
Maa Keh Ke Hasan Ro Deiye Jab Oss Jagah Pohancha.
Zahra Ka Janaza.
Jab Pichey Janazay Ke Chalein Sani-e-Zahra.
Qadmo Ki Sada Sun Ke Ali Ne Yeh Pukara.
Ghar Chor Ke Aao Hasan Aagay Nahi Barhta.
Zahra Ka Janaza.
Na Paon Mein Beri Hai Na Zanjeer Badan Par.
Tanhai Mein Rotay Rahe Yeh Soch Ke Haider.
Zindan Mein Sajjad Se Kis Tarha Uthay Ga.
Zahra Ka Janaza.
Zahra Hai Kahan Dafan Khabar Ho Na Kissi Ko.
Jab Turbatein Chalees Ali Khod Chukay Tu.
Dafnaya Nahi Qabar Mein Ro Ro Ke Chupaya.
Zahra Ka Janaza.
Dafnane Lagay Jab Ali Bachoon Ki Madad Se.
:ZEESHAN:-o-:WAJIH: Uth Gaye Do Hath Lehad Se.
Jab Bolay Ali Lijiye Aye Zahra Ke Baba.
Zahra Ka Janaza.
Poet: :Zeeshan Abidi:
Noha Khuwan: :Wajhi Hasan Zaidi:
Noha Volum: :Wajhi Hasan Zaidi 2024-25:
Composition: :Zeeshan Abidi:
#ZehraKaJanaza
#NohayLyrics
#tajpoint