Ali Kay Sath Hai Zehra Ki Shadi Mir Hasan Mir Lyrics In Urdu and Roman Urdu

Ali Kay Sath Hai Zehra Ki Shadi Mir Hasan Mir Lyrics In Urdu and Roman Urdu

علیؑ کے ساتھ ہے زہراؑ کی شادی

Murtaza Ko Khana Zaad-e-Rab-e-Akbar Dekh Kar.
Biyah Di Beti Payamber Ne Bara Ghar Dekh Kar.
Poet: :Qamar Jalalvi:
Sabhi Khush Hain Khudai Bhi Khuda Bhi.
Ali Ke Sath Hai Zahra Ki Shadi.
Dulha Hai Khuda Ke Ghar Ka Dulhan Hai Nabi Ke Ghar Ki.
Woh Arz-o-Samaa Ka Malik Yeh Malka Behar-o-Bar Ki.
Zameen Raqsaan Hai Raqsaan Aasmaan Bhi.
Jab Hukam Khuda Ka Paya Horoon Ne Arsh Sajaya.
Ismat Ne Banaya Saya Our Noor-e-Wila Lehraya.
Wilayat Ne Haseen Masnad Bicha Di.
Kayi Baharein Guzar Gayi Hain Khila Na Aisa Chaman Jahan Mein.
Kahan Khudai Mein Aisa Dulha Kahan Hai Aisi Dulhan Jahan Mein.
Poet: :Mohsin Naqvi Shaheed:
Haider Hain Kul-e-Emaan Our Kul-e-Ismat Zahra.
Oss Sar Pe Wafa Ka Sehra Iss Sar Pe Hayya Ka Sehra.
Woh Shehzada Hai Our Yeh Shahzadi.
Tohfay Mein Miley Maikay Se Inhein Kausar Our Janat Tu.
Yeh Sara Namak Our Pani Haq Mehar Mila Zahra Ko.
Salami Mein Mili Marzi Khuda Ki.
Yeh Anbiya Hain Yeh Auliya Hain Ali Wali Ki Baraat Dekho.
Chirakta Hai Khizar Har Barati Ke Rukh Pe Aab-e-Hayat Dekho.
Yeh Bazm Dekho Yeh Loag Dekho Yeh Rang Dekho Yeh Raat Dekho.
Poet: :Mohsin Naqvi Shaheed:
Baraat Chali Haider Ki Rehmat Ke Saye Saye.
Baraat Ke Aagay Aagay Waliyon Ne Qasiday Gaye.
Nabi Sare Chaley Ban Kar Barati.
Tatheer Ke Zair-e-Saya Rahein Shad Yeh Dulha Dulhan.
Aye Bag-e-Jinna Ke Malik Aabad Rahe Yeh Gulshan.
Khudawanda Mubarak Ho Yeh Shadi.
Atta Kar Ke Haider Ko Zahra Si Zojah.
Pukara Falak Par Yeh Mabood Mera.
Ali Ne Banai Hai Qismat Jahan Ki.
Ali Ki Main Qismat Bananey Chala Hoon.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Khaiti Ne Bichaya Sabza Soraj Ne Ujalay Bantay.
Khud Dast-e-Khuda Ne Shab Ke Aanchal Pe Sitarey Tankay.
Hoi Rangeen Jo Thi Tasveer Sadi.
Ab Chahe Koi Tarpay Ab Chahe Koi Bharkey.
Ab Meri Bala Se Chahe Mar Jaye Koi Jal Jal Ke.
Khushi Ki Baat Thi Main Ne Suna Di.
Rukhsat Ki Ghari Jab Aayi Taroon Ne Mang Sajai.
Haq Ne Rehmat Barsayi Naron Ne Dhoom Machai.
Uthi Doli Chali Bad-e-Bahari.
Thi Aisi Muqadas Mehfil Aisay Pakeeza Jalway.
Aye :MIR HASAN: Our :GOHAR: Kaha Sab Ne Yeh Khush Ho Ke.
Mubarak Hai Mubarak Hai Yeh Shadi.
Poet: :Gohar Jarchvi:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2022-23:
Imam Ali AS Manqabat
#AliKaySathHaiZehraKiShadi
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!