Pasliyan Toot Gayin Baba Bataon Kaise Lyrics Urdu 2024

Pasliyan Toot Gayin Baba Bataon Kaise Lyrics Urdu 2024

Pasliyan Toot Gayin Baba Bataon Kaise

Taziyano Ke Nishaan Tum Ko Dikhaon Kaisay.

Mujh Pe Woh Zulm Hoye Baad Tumhare Baba.
Raat Din Rotay Hoye Main Ne Guzarey Baba.
Apni Rodad Tumhein Haye Sunaon Kaisay.

Kalma Goyon Ne Mere Dar Ko Jalaya Mil Kar.
Phir Woh Jalta Howa Dar Mujh Pe Giraya Mil Kar.
Kya Kya Ummat Ne Kiya Tum Ko Bataon Kaisay.

Taziyano Ki Tamachon Ki Woh Shiddat Baba.
Kaisay Bholon Gi Main Mohsin Ki Shahadat Baba.
Dagh Mohsin Ka Kalejay Pe Uthaon Kaisay.

Kitni Takleef Ke Manzar Se Guzara Mujh Ko.
Samne Bachoon Ke Qunfuz Ne Hai Mara Mujh Ko.
Zakhm Bazu Ka Main Zainab Se Chupaon Kaisay.

Jab Main Haq Mangney Darbar Gayi Thi Baba.
Har Koi Betha Howa Tha Main Khari Thi Baba.
Sochti Thi Keh Wahan Tum Ko Bulaon Kaisay.

Apne Hathoon Se Jo Tehreer Likhi Thi Tum Ne.
Samne Mere Ossay Phaar Diya Zalim Ne.
Kya Kya Dekhi Hai Qayamat Main Bataon Kaisay.

Aap Ke Baad Ali Ko Hai Sataya Baba.
Rasiyan Bandh Ke Galiyon Mein Phiraya Baba.
Ghurbat-e-Haider-e-Karrar Sunaon Kaisay.

Aap Ki Ladli Be Jan Hoi Jati Hai.
Dard Itna Hai Mujhe Sans Nahi Aati Hai.
Ab Main Shabbir Ko Seene Pe Solaon Kaisay.

Kitna Tang Ho Gaya Ab Haye Madina Mujh Par.
Baba Main Roti Hoon Ja Ja Ke Shehar Se Bahir.
Aap Batlaiye Main Ashk Bahaon Kaisay.

Khud Qalam Rota Hai Qirtas Ko Tarpata Hai.
Haye :Ahmad: Yeh Jigar Khon Howa Jata Hai.
Gham Nabi Zadi Ka Tehreer Mein Laon Kaisay.

Poet: :Ahmad Timsaal:

3 Jamadi Ul Sani Shahadat Bibi Fatima Zahra SA Noha

#PasliyanTootGayin
#NohayLyrics
#tajpoint

Pasliyan Toot Gayin Baba Bataon Kaise Lyrics Urdu 2024 Write Up Poster Image

Pasliyan Toot Gayin Baba Bataon Kaise Lyrics Urdu 2024

Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!