Muslim Ka Tha Ye Noha Mukhtar Hussain Fatehpuri Lyrics 2024
Muslim Ka Tha Ye Noha Mukhtar Hussain Fatehpuri
Muslim Ke Pisar Haye Kofay Mein Bhataktay Hain.
Kofay Mein Tah-e-Khanjar Muslim Ka Tha Yeh Noha.
Bachoon Ko Mere Unn Ki Madar Se Mila Dena.
Tum Loag Tu Sab Mil Kar Kal Eid Manao Gay.
Bachoon Ko Bhi Tum Apne Seene Se Lagao Gay.
Mil Jaein Mere Betay Tu Unn Pe Taras Khana.
Mazloom Hoon Khud Main Bhi Mazloom Hain Woh Dono.
Kamsin Bhi Hain Woh Dono Masoom Hain Woh Dono.
Unn Ko Tu Madine Ka Maloom Nahi Rasta.
Jalad Chalata Hai Khanjar Meri Gardan Par.
Phainkay Ga Bulandi Se Woh Mera Tan-e-Lagar.
Tum Loag Ghaseeto Gay Galiyon Mein Mera Lasha.
Latkay Ga Mera Lasha Darwaza e Kofa Par.
Mere Tan-e-Be Sar Par Barsaein Gay Sab Pathar.
Kya Guzri Hai Baba Par Bachoon Ko Na Batlana.
Jis Waqt Sar-e-Kofa Sadaat-e-Haram Pohanchay.
Aawaz Yeh Aati Thi Oss Lasha-e-Be Sar Se.
Main Muslim e Tanha Hoon Lo Mera Salam Aaqa.
Tab Zoja e Muslim Ne Lashay Se Kaha Ro Kar.
Jo Aap Pe Guzri Hai Zahir Hai Woh Sab Mujh Par.
Katta Hai Jigar Mera Jab Sunti Hoon Yeh Noha.
Ummat Ne Udhar Le Ke Bachoon Pe Sitam Dhaya.
Haan Samne Bhai Ke Bhai Ka Gala Kata.
Masoom Ki Gardan Ka Khoon Rait Pe Girta Tha.
Muslim Ka Tan-e-Be Sar Khaincha Gaya Kofay Mein.
Yaan Bhaiyon Ke Lashay Phainkay Gaye Darya Mein.
Mohtaj e Kafan Bachay Mohtaj e Kafan Baba.
Woh Masjid-e-Kofa Ho Ya Shehar Musiyab Ka.
Baba Hain Udhar Tanha Bachay Hain Idhar Tanha.
:MUKHTAR: Our Aye :MAJID: Yeh Gonjta Hai Noha.
Poet: :Allama Dr Majid Raza Abidi:
Noha Khuwan: :Mukhtar Hussain Fatehpuri:
Noha Volume: :Mukhtar Hussain Fatehpuri 2023-24:
Compostion: :Izhar & Mukhtar Hussain Fatehpuri:
#MuslimKaThaYeNoha
#NohayLyrics
#tajpoint
New Noha Muslim Ka Tha Ye Noha Mukhtar Hussain Fatehpuri