Madh e Abbas Ali Kazmi Lyrics Urdu 2025
Madh e Abbas Ali Kazmi Lyrics Urdu
Madh-e-Abbas Ka Quran Sunanay Walay.
Hum Dua Fatima Zahra Se Hain Paney Walay.
Chaar Shaban Hai Abbas Hain Aane Walay.
Khush Bohat Aaj Hain Zahra Ke Gharanay Walay.
Apne Hathoon Se Jo Zahra Ne Siye They Kurtay.
Aaj Ghazi Ko Ali Hain Woh Pinhane Walay.
Rashk Se Dekhta Hai Kaba Tere Sajday Ko.
Dar Pe Abbas Ke Aye Sar Ko Jhukanay Walay.
Chomtay Hain Tere Hathoon Ko Farishtay Aa Kar.
Parcham-e-Hazrat-e-Abbas Uthane Walay.
Baat Kar Ke Kabhi Abbas Se Tum Dekho Tu.
Yeh Bhi Bandon Ko Khuda Se Hain Milaney Walay.
Dekhney Toor Ka Jalwa Hain Kharey Mosa Bhi.
Diya Abbas Hain Khaimay Mein Bhujaney Walay.
Ungliyon Par Dar-e-Khaybar Ko Uthatay Hain Ali.
Darya Abbas Hain Chullo Mein Uthane Walay.
Ain Mumkin Hai Keh Khud Matami Ko Mehshar Mein.
Jaam Kausar Ka Hoon Abbas Pilane Walay.
Lar Lein Ghazi Se Nahi Itna Jigar Shamiyon Ka.
Kya Larein Gay Yeh Kalejay Ko Chabane Walay.
Naam Abbas Hamarey Bhi Likhein Gay Ab :ASAD:.
Zairon Ki Hai Woh Fehrist Bananey Walay.
Poet: :Asad Ali Asad:
Manqabat Khuwan: :Ali Kazmi:
Manqabat Volume: :Ali Kazmi 2024-25:
Composition: :Sayyed Zaire Naqvi:
#MadheAbbas
#ManqabatLyrics
#tajpoint