Zikr e Haider Asfar Rizvi Lyrics Urdu 2025
Zikr e Haider Asfar Rizvi Lyrics Urdu
Zikar-e-Haider Ki Mehfil Sajata Hoon Main.
Farsh Par Arshiyon Ko Bulata Hoon Main.
Aaj Terah Rajab Hai Ali Aaein Gay.
Aaj Phir Dil Ko Kaba Banata Hoon Main.
Hatta Mairaj Ke Parday Ko Dekh Kar.
Apni Aankhon Se Parday Hatata Hoon Main.
Baat Karni Ho Jab Bhi Khuda Se Mujhe.
Khud Bakhud Hi Najaf Chal Ke Jata Hoon Main.
Hai Mere Pas Madh-e-Ali Ki Sharab.
Jis Ne Peeni Hai Aaye Pilata Hoon Main.
Ya Ali Bool Uthta Hai Pakeeza Khon.
Narah-e-Haidery Jab Lagata Hoon Main.
Koi Pochay Ali Soye Kab Chain Se.
Baat Hijrat Ki Shab Ki Batata Hoon Main.
Raat Din Bhaijta Hoon Ali Par Darood.
Aag Dozakh Ki Aisay Bhojata Hoon Main.
Rashk Se Arsh Walay Mujhe Taktay Hain.
Farsh-e-Madh-e-Ali Jab Bichata Hoon Main.
Kya Bataon Keh Kya Zaiqa Oss Mein Hai.
Rizq Le Kar Ali Se Jo Khata Hoon Main.
Kaun De Ga Mera Sath Choray Ga Kaun.
Ya Ali Keh Ke Yeh Aazmata Hoon Main.
Bolta Mere Haq Mein Hai Quraan :ASAD:.
Jab Ali Ke Fazail Sunata Hoon Main.
Poet: :Asad Ali Asad:
Manqabat Khuwan: :Asfar Rizvi:
Manqabat Volume: :Asfar Rizvi 2024-25:
Composition: :Hasnain Mehdi:
#ZikreHaider
#ManqabatLyrics
#tajpoint