Nabi Ki Beti Syed Zakariya Rizvi Lyrics Urdu 2025
Nabi Ki Beti Syed Zakariya Rizvi.
Nabi Ki Beti Ko Bad-e-Nabi Rulaya Gaya.
Janab-e-Fatima Zahra Ka Dil Dukhaya Gaya.
Tarap Ke Doray Ali Zulfiqar Ki Janib.
Jab Unn Ke Samne Zahra Pe Hath Uthaya Gaya.
Madine Walon Ne Kyun Gasibon Se Na Pocha.
Nabi Ki Beti Ko Darbar Kyun Bulaya Gaya.
Darood Parhtay They Jis Dar Pe Aate Jate Nabi.
Laga Ke Aag Ossi Dar Ko Hai Jalaya Gaya.
Batool Zindah Rahein Jitnay Din Bhi Roti Rahein.
Nabi Ke Baad Unhein Iss Qadar Sataya Gaya.
Gawah Laein Thin Zahra Jo Apne Haq Ke Liye.
Woh Sare Sachay They Iss Sach Se Munh Phiraya Gaya.
Munafiqon Ke Jo Seene Mein Aag Bugz Ki Thi.
Ali Ke Ghar Ko Ossi Aag Se Jalaya Gaya.
Batool Rokti Hi Reh Gayin Thin Zalimo Ko.
Ali Ko Bandh Ke Rasi Se Jab Le Jaya Gaya.
Batool Thamay Hoye Thin Ali Ka Daman Jab.
Tu Durray Mar Ke Hathoon Pe Woh Choraya Gaya.
Yehi Nahi Keh Faqat Fatima Ka Qatal Howa.
Hai Unn Ke Sath Hi Mohsin Ka Khoon Bahaya Gaya.
Ali Ke Our Woh Hasnain Ke Jigar Pe Laga.
Woh Zakhm Zahra Ko Pehlu Pe Jo Lagaya Gaya.
Sadaein Qabar-e-Nabi Mein Thin Haye Zahra Ki.
Nabi Ki Beti Ka Taboot Jab Uthaya Gaya.
Na Jane Kaisay Yeh Hasnain Ne :ASAD: Dekha.
Jab Unn Ki Walida Pe Jalta Dar Giraya Gaya.
Poet: :Asad Ali Asad:
Noha Khuwan: :Syed Zakariya Rizvi:
Noha Volume: :Syed Zakariya Rizvi 2024-25:
#NabiKiBeti
#NohayLyrics
#tajpoint