Ay Muntaqim Meray Syed Wasif Abideen Naqvi Lyrics Urdu 2025
Ay Muntaqim Meray Syed Wasif Abideen Naqvi.
Lehad Mein Roti Hain Zahra Labon Pe Hai Noha Aye Muntaqim Mere.
Tumhari Maa Pe Sitam Kya Kya Logon Ne Dhaya Aye Muntaqim Mere.
Main Chodah Sadiyon Se Ik Soag Ke Hisar Mein Hoon.
Kab Aao Gay Mere Mehdi Main Intezar Mein Hoon.
Keh Mere Qatilon Se Tum Ne Badlah Hai Lena Aye Muntaqim Mere.
Tum Aao Gay Tu Main Har Ik Sitam Bataon Gi.
Jo Zakhm Hai Mere Chehray Pe Woh Dikhaon Gi.
Hai Lena Zalimo Se Tum Ne Inteqam Mera Aye Muntaqim Mere.
Jo Lakriyaan Meri Chokhat Pe Le Ke Aaya Tha.
Our Unn Se Jis Ne Bhi Zahra Ka Dar Jalaya Tha.
Tum Oss Ko Hathoon Se Khud Aag Mein Jala Dena Aye Muntaqim Mere.
Meri Koi Bhi Gawahi Kissi Ne Na Mani.
Sand Rasool Ki Zalim Ne Bhi Na Pehchani.
Ali Ko Zahra Ko Hasnain Ko Hai Jhutlaya Aye Muntaqim Mere.
Jahan Pe Ruk Ke Nabowat Salam Karti Thi.
Woh Dar Keh Marzi Khuda Ki Jahan Utarti Thi.
Laeen Ne Thokaron Se Pak Dar Hai Woh Tora Aye Muntaqim Mere.
Tamacha Mara Gaya Taziyana Mara Gaya.
Hai Jalta Dar Mere Pehlu Pe Bhi Giraya Gaya.
Ghiri Thi Sholon Mein Our Khon Mera Behta Raha Aye Muntaqim Mere.
Hoon Jis Ki Pasliyaan Tooti Woh Sans Le Na Sakay.
Tarapta Rehta Hai Woh Dard-o-Gham Ki Shiddat Se.
Laga Lo Zahra Ke Dardoon Ka Iss Se Andaza Aye Muntaqim Mere.
Saqeefa Walay Hain Farman-e-Mustafa Bholay.
Kitab Chor Di Our Marzi-e-Khuda Bholay.
Ghadeer-e-Khum Ko Bhula Kar Ali Ka Haq Chena Aye Muntaqim Mere.
:ASAD: Hain Qabar Mein Noha Kuna Woh Mehroma.
Woh Jin Ke Bachoon Mein Mohsin Shaheed Hai Pehla.
Woh Kehti Hain Keh Howa Qatal Mere Mohsin Ka Aye Muntaqim Mere.
Poet: :Asad Ali Asad:
Noha Khuwan: :Syed Wasif Abideen Naqvi:
Noha Volume: :Syed Wasif Abideen Naqvi 2024-25:
Composition: :Irfan Haider Naqvi:
#AyMuntaqimMeray
#NohayLyrics
#tajpoint
Ay Muntaqim Meray Syed Wasif Abideen Naqvi Lyrics
Ay Muntaqim Meray Syed Wasif Abideen Naqvi Lyrics Urdu