Ghadeer E Khum Main Mir Sajjad Mir Lyrics Urdu 2025
Ghadeer E Khum Main Mir Sajjad Mir
Hub-e-Ali Rehmat Ullah.
Bugz-e-Ali Lanat Ullah.
Ban Gaya Mimber-e-Palaan Ghadeer-e-Khum Mein.
Dab Gaye Sheikh Ke Arman Ghadeer-e-Khum Mein.
Ab Koi Hukam Na Aaye Ga Zamane Ke Liye.
Ho Gaya Aakhri Ayelan Ghadeer-e-Khum Mein.
Garam Jhonkon Pe Hawaon Ke Abuzar Hans Kar.
Parhtay Hain Sorah-e-Rehman Ghadeer-e-Khum Mein.
Parda e Chashm Se Aanso Nikal Aaye Bahir.
Iss Qadar Khush Hoye Salman Ghadeer-e-Khum Mein.
Unn Ko Palaan Milein Gay Tu Kahin Jaein Gay.
Sheikh Hain Be Sar-o-Saman Ghadeer-e-Khum Mein.
Hain Sar-e-Mimber-e-Palaan Ali Our Nabi.
Do Nazar Aate Hain Quran Ghadeer-e-Khum Mein.
Unn Ko Dar Lagta Hai Pathar Na Baras Jaein Kahin.
Youn Nahi Jate Musalman Ghadeer-e-Khum Mein.
Kuch Tu Kam Ho Gaya Ho Ga Yeh Sada Di Rab Ne.
Abu Talib Tera Ahsan Ghadeer-e-Khum Mein.
Ya Nabi Mar Doon Pathar Unhein Qanbar Bolay.
Phir Nazar Aa Gaye Shetan Ghadeer-e-Khum Mein.
:MIR SAJJAD: Urein Sheikh Ki Neendein Sari.
Ho Gaye Khuwab Pareshan Ghadeer-e-Khum Mein.
Poet: :Mir Sajjad Mir:
Manqabat Khowan: :Mir Sajjad Mir:
Manqabat Volume: :Mir Sajjad Mir 2024-25:
#GhadeerEKhumMain
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Ghadeer E Khum Main Mir Sajjad Mir Lyrics Urdu 2025 Write Up Poster Image
Video Link
اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!
اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔
