Zair E Karbala Mehdi Rizvi and Hadi Rizvi Lyrics Urdu 2025
Zair E Karbala Mehdi Rizvi and Hadi Rizvi.
Zair e Karb-o-Bala Itni Meri Hai Iltija.
Shah Ke Rozay Pe Tum Sajdah Mera Karna Ada.
Haan Maqam-e-Hazrat-e-Akbar Pe Jo Tum Jao Gay.
Muntazir Hoon Izn Ka Main Unn Se Keh Kar Aao Gay.
Dena Sughra Ka Ali Akbar Ko Tum Sab Wasta.
Charon Janib Se Mujhe Mushkil Ne Hai Ghaira Howa.
Jaon Kis Ke Pas Aakhir Hoon Bohat Toota Howa.
Kehna Hazrat Se Ke Hain Wohi Mere Mushkil Kusha.
Jee Raha Hai Bas Issi Umeed Mein Banda Tera.
Aik Bar Aankhon Se Apni Dekh Le Roza Tera.
Aye Marey Maula Mujhe Aa Jaye Phir Chahe Qaza.
Arbaeen Par Mere Maula Izn Dein Mujh Ko Agar.
Our Muqadar Mein Mere Ho Karbala Ka Gar Safar.
Jaon Ga Main Bhi Najaf Se Karbala Chalta Howa.
Chahiye Mujh Ko Na Tum Se Dolat-e-Dunya Hussain.
Hai Meri Khatir Yeh Kafi Mujh Ko Tu Mil Ja Hussain.
Karbala Aa Kar Bhi Tum Se Mangni Hai Karbala.
Dekh Kar Ghazi Ka Roza Yaad Karna Tum Unhein.
Roza-e-Abbas Par Jane Ki Hasrat Hai Jinhein.
Izn Ghazi Se Jinhein Ab Tak Nahi Hai Mil Saka.
Paish Kar Dena Yeh Noha Shah-e-Wala Ke Hazoor.
Our Keh Dena Nahi Reh Paon Ga Ab Unn Se Door.
Bas Issi Umeed Mein :QAMBAR: Ne Yeh Noha Likha.
Poet: :Qambar Ali Karbalai:
Noha Khuwan: :Syed Mehdi Rizvi:
Noha Khuwan: :Syed Hadi Ali Rizvi:
Noha Volum: :Syed Mehdi Rizvi 2025-26:
Composition: :Meisam Raza (MRZ):
#ZairEKarbala
#NohayLyrics
#tajpoint