ٹ کریں -->

Bharay Madinay Main Mir Hasan Mir 2026 Lyrics In Urdu

Bharay Madinay Main Mir Hasan Mir 2026

Yeh Haal Ho Gaya Baba Bharay Madine Mein.
Akeli Ho Gayi Zahra Bharay Madine Mein.

Hamara Jalta Howa Ghar Bhujaney Ki Khatir.
Rasan Ali Ke Galay Se Churane Ki Khatir.
Koi Bhi Ghar Se Na Nikla Bharay Madine Mein.

-->

Haye Woh Jis Ko Bizato Mini Khud Aap Kehte They.
Ghazab Hai Aap Ki Oss Pardah Daar Beti Pe.
Kissi Ne Hath Uthaya Bharay Madine Mein.

Haye Yeh Dukh Sakina Ko Zainab Mera Suna Dena.
Ossay Tu Sham-e-Ghareebaan Mein Shimar Marey Ga.
Mujhe Laga Hai Tamacha Bharay Madine Mein.

Ghadeer Yaad Dilaney Gharon Pe Jati Hoon.
Main Unn Pe Dastakein De De Ke Laut Aati Hoon.
Koi Bhi Dar Nahi Khulta Bharay Madine Mein.

Aray Thi Mere Samne Rasi Mein Gardan-e-Haider.
Mujhe Ali Ne Na Oss Waqt Roka Hota Agar.
Na Rehta Koi Bhi Zindah Bharay Madine Mein.

Hamarey Ghar Ka Dhowaan Bhi Nazar Na Aaya Unhein.
Na Mere Bachoon Ki Aahoon Ne Bhi Jagaya Unhein.
Sakoon Se So Gayi Dunya Bharay Madine Mein.

Main Bait-e-Hizn Mein Jati Thi Aap Ko Roney.
Ossay Bhi Aag Laga Di Hai Kalma Goyon Ne.
Main Ro Bhi Payi Na Baba Bharay Madine Mein.

Aye Baba Mujh Ko Yehi Baat Khaye Jati Hai.
Koi Bhi Keh Nahi Paya Batool Sachi Hai.
Kaha Gaya Mujhe Jhota Bharay Madine Mein.

Haye Abu Turab Se Keh Kar Mujhe Bulaya Tha.
Aray Yeh Shehar Aap Ne Kya Iss Liye Basaya Tha.
Batool Khati Hai Durrah Bharay Madine Mein.

Sitam Hai Ab Bhi :TAKALLUM: Batool Par Jari.
Jahan Pe Qabrein Hain Zahra Ke Chaar Beton Ki.
Hai Bas Wahin Pe Andhera Bharay Madine Mein.

Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2026-27:
Composition: :Mir Hasan Mir:

#BharayMadinayMain
#NohayLyrics
#tajpoint

New Noha Bharay Madinay Main Mir Hasan Mir 2026

Lyrics Urdu Bharay Madinay Main Mir Hasan Mir 2026

Bharay Madinay Main Mir Hasan Mir 2026 Lyrics In Urdu Write Up Poster Image

Bharay Madinay Main Mir Hasan Mir 2026 Lyrics In Urdu

Video Link

اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!

اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔

error: Content is protected !!