ٹ کریں -->

Mere Bachy Hain Abhi Chohte Ya Ali Mir Sajjad Mir 2026 Lyrics In Urdu

Mere Bachy Hain Abhi Chohte Ya Ali Mir Sajjad Mir 2026.

Ro Ke Zahra, Ali Se Yeh Kehti Rahi.
Mere Bachay Hain Chotay Abhi Ya Ali.
Inn Ka Kya Hoga Jab Main Guzar Jaon Gi.
Mere Bachay Hain Chotay Abhi Ya Ali.

Mere Bachoon Ko Lori Sunaye Ga Kaun.
So Gayi Main Tu Inn Ko Sulaye Ga Kaun.
Kaun Uthaye Ga Naaz Unn Ke Meri Tarha.
Apne Hathoon Se Luqme Khilaye Ga.
Kaun Madar Ki Pori Karey Ga Kami.

-->

Kaisay Hoga Bhala Mera Ghusal-o-Kafan.
Choor Zakhmo Se Hai Mera Sara Badan.
Kis Tarha Se Sanbhalein Gay Mujh Ko Bhala.
Nanhay Hathoon Se Apne Hussain-o-Hasan.
Unn Se Maiyyat Meri Uth Nahi Paye Gi.

Kuch Dino Mein Guzar Jaye Gi Inn Ki Maa.
Mat Batana Keh Zakhmi Thin Yeh Pasliyaan.
Main Tu Aanso Bhi Unn Se Chupati Rahi.
Kaisay Dekhein Gay Woh Mere Khoon Ke Nishaan.
Unn Se Chadar Chupana Meri Khoon Bhari.

Aayi Darbar Se Jis Ghari Apne Ghar.
Ro Paray Mere Bachay Mujhe Dekh Kar.
Pocha Munh Par Tamachon Ke Kyun Hain Nishaan.
Kan Ki Bali Amma Giri Hai Kidhar.
Chup Rahi Apne Bachoon Se Kya Bolti.

Qabar Mein Royon Gi Unn Ke Sun Sun Ke Bain.
Jane Kab Aaye Ga Mere Bachoon Ko Chain.
Mujh Ko Maloom Hai Neend Se Jaag Kar.
Mujh Ko Dhondein Gay Mere Hasan Our Hussain.
Kaisay Samjhein Gay Maa Ab Nahi Aaye Gi.

Khud Se Karti Hoon Aksar Yeh Ro Kar Sawal.
Rakhne Wala Hai Kaun Aap Ka Ab Khiyal.
Iss Jawani Mein Darhi Safaid Ho Gayi.
Mere Marne Se Ho Jaein Gay Our Nidhal.
Khud Ko Maula Sanbhalein Qasam Hai Meri.

:MIR SAJJAD: Maa Ki Jo Maiyyat Uthi.
Maa Ko Aoulad Khul Kar Nahi Ro Saki.
Aasteen Munh Mein Rakh Rakh Ke Rotay They Sab.
Unn Ki Ghurbat Pe Rotay Rahe Khud Ali.
Fatima Ki Kafan Se Sada Aati Thi.

Poet: :Mir Sajjad Mir:
Noha Khowan: :Mir Sajjad Mir:
Noha Volume: :Mir Sajjad Mir 2026-27:
Composition: :Nayyer Abbas – Skardu:

#MereBachyHain
#NohayLyrics
#tajpoint

New Noha Mere Bachy Hain Abhi Chohte Ya Ali Mir Sajjad Mir 2026

Lyrics Mere Bachy Hain Abhi Chohte Ya Ali Mir Sajjad Mir 2026

Mere Bachy Hain Abhi Chohte Ya Ali Mir Sajjad Mir 2026 Write Up Poster Image

Mere Bachy Hain Abhi Chohte Ya Ali Mir Sajjad Mir 2026

Video Link

اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!

اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔

error: Content is protected !!