Ab Wo Zahra Nahi Rahi Baba Joan Rizvi Lyrics In Urdu 2026
Jis Ko Kehte They Aap Shehzadi Ab Woh Zahra Nahi Rahi Baba.
Aap Ka Saya Kya Utha Sar Se Meri Dunya Ujar Gayi Baba.
Dekhiye Main Hoon Aap Ki Zahra, Haal Yeh Kaisa Ho Gaya Mera.
Mujh Pe Darwaza Gira, Hath Zalim Ka Utha, Haq Mera Chena Gaya.
Fatima Aap Ke Madine Mein Ho Gayi Kitni Ajnabi Baba.
Aap Tazeem Jis Ki Kartay They, Jis Ko Apni Jagah Bithatay They.
Mangney Haq Woh Gayi, Sar-e-Darbar-e-Shaqi, Our Yeh Tauqeer Hoi.
Mujh Pe Hanstay They Ummati Sare, Our Main Roti Reh Gayi Baba.
Apne Bachoon Se Kya Kahon Baba, Samna Kaisay Ab Karon Unn Ka.
Kya Karon Unn Se Biyaan, Hain Mere Rukh Pe Ayaan, Haye Tamachon Ke Nishaan.
Kya Sitam Hai Keh Apne Bachoon Se, Main Na Nazrein Mila Saki Baba.
Mujh Ko Yeh Dard Kha Gaya Baba, Mera Mohsin Nahi Raha Baba.
Woh Mera Noor-e-Nazar Woh Mera Lakht-e-Jigar Mera Mazloom Pisar.
Oss Ki Sansein Bhi Cheen Lein Mujh Se Kitne Zalim Hain Ummati Baba.
Mujh Ko Roney Bhi Ab Nahi Dete, Aa Ke Kehte Hain Loag Haider Se.
Apni Zojah Se Kaho, Din Mein Ya Raat Mein Ro, Hum Ko Takleef Na Do.
Kya Kahon Apni Zaat Mein Khud Main Bait Alahzan Ho Gayi Baba.
Khud Ka Noha Dikhai Deti Hoon, Main Zaeefa Dikhai Deti Hoon.
Zulm Jo Mujh Pe Hoye, Gar Dino Par Hote, Shab Mein Woh Dhal Jate.
Dekh Kar Apna Aks Bhi Zahra, Khud Ko Pehchan Na Saki Baba.
Mujh Se Nazrein Hasan Milata Nahi, Samne Ab Woh Maa Ke Aata Nahi.
Jab Sitam Mujh Pe Howa, Woh Mere Pas Hi Tha, Hai Woh Hasas Bara.
Jane Kya Oss Ke Dil Pe Guzri Hai, Oss Ko Ik Chup Si Lag Gayi Baba.
Murtaza Ko Salam Kartay Nahi, Loag Unn Se Kalam Kartay Nahi.
Dard Sehtay Hain Ali, Kuch Na Kehte Hain Ali, Chup Se Rehtey Hain Ali.
Bhool Na Paye Gi Kabhi Zahra Haye Ummat Ki Be Rukhi Baba.
Haal Darbar Ka Sunaya Nahi, Main Ne Zainab Ko Kuch Bataya Nahi.
Gham Uthana Hai Isse, Dein Bachana Hai Isse, Sham Jana Hai Issay.
Zulm Ki Yeh Tu Pehli Manzil Hai Our Woh Manzil Hai Aakhri Baba.
Kaun Aagosh Mein Sulaye Ga, Kaun Pani Ossay Pilaye Ga.
Woh Ghareeb-e-Zahra, Mere Dil Ka Tukra, Haye Shabbir Mera.
Apni Takleef Mein Bhi Zahra Ko Fikar Hai Oss Ki Pyas Ki Baba.
Kal Talak Jo Ghulam Zaday They, Aag Dar Par Hamarey Le Aaye.
Rasi Haider Ke Bandhi, Main Sada Deti Rahi, Hum Hain Aoulad-e-Nabi.
Kyun Qayamat Na Aa Gayi Oss Dam Jab Ali Ke Rasan Bandhi Baba.
Haye :MUKHTAR: Qabar-e-Sarwar Par, Gir Gayi Keh Ke Ladli Dukhtar.
Meri Faryad Suno, Baba Turbat Se Utho, Mujh Ko Aagosh Mein Lo.
Pas Apne Bola Lo Zahra Ko, Gham Main Seh Seh Ke Thak Gayi Baba.
Poet: :Ali Mukhtar Zaidi:
Noha Khuwaan: :Joan Rizvi:
Noha Volume: :Joan Rizvi 2026-27:
Composition: :Shahrukh Abbas Khan:
#AbWoZahra
#NohayLyrics
#tajpoint
New Noha Ab Wo Zahra Nahi Rahi Baba Joan Rizvi Lyrics
2026 Noha Ab Wo Zahra Nahi Rahi Baba Joan Rizvi Lyrics
Ab Wo Zahra Nahi Rahi Baba Joan Rizvi Lyrics In Urdu 2026 Write Up Poster Image
Video Link
اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!
اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔
