Daikh Shan e Fatima Syed Ali Mehdi.
Munkir-e-Bint-e-Payamber Dekh Shan-e-Fatima.
Kam Nazar Kabay Ka Kaba Hai Makan e Fatima.
Mustafa Ke Dil Mein Zahra Ki Fazeelat Dekh Kar.
Ho Gaya Quran-e-Samat Madah Khuwan-e-Fatima.
Zainab-o-Kulsoom Ki Seerat Se Zahir Ho Gaya.
Ho Baho Zahra Numa Hain Dukhtaran-e-Fatima.
Khilqat-e-Kaun-o-Makaan Se Ikhtitam e Khalq Tak.
Intehab e Kibriya Hai Khandan-e-Fatima.
Aya-e-Tatheer Ka Jab Se Howa Jag Mein Nazool.
Baam-e-Haq Par Roz Deti Hai Azan-e-Fatima.
Ik Taraf Abbas Hain Our Ik Taraf Shabbir Hain.
Ik Dua-e-Fatima Hai Aik Jan-e-Fatima.
Koi Samjhota Nahi Hoga Fidak Ki Baat Par.
Lanatoon Ke Mustahiq Hain Dushmanan-e-Fatima.
Aik Ik Maula Ka Matam Daar Janat Jaye Ga.
Yeh Sand Hum Ko Mili Hai Bar Zuban e Fatima.
Mujh Ko Deti Hain Duaein Syeda, :YASIR RAZA:.
Jab Bhi Karta Hoon Sana-e-Dilbaran e Fatima.
Poet: :Yasir Raza Yasir:
Manqabat Khuwan: :Syed Ali Mehdi:
Manqabat Volume: :Syed Ali Mehdi 2026-27:
Composition: :Yasir Raza Yasir:
#ShaneFatima
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Daikh Shan e Fatima Syed Ali Mehdi Lyrics In Urdu 2026 Write Up Poster Image
Video Link
اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!
اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔
