Sajjad Ne Ek Pal Ali Raza Karbalai Lyrics In Urdu and Roman Urdu
سجادؑ نے اِک پل بھی کہیں چین نہ پایا
Sajjad Ne Ik Pal Bhi Kahin Chain Na Paya.
Har Gaam Pe Zainab Ke Khulay Sar Ne Rulaya.
Bazar Mein Har Koi Tamashai Bana Hai.
Yeh Aal-e-Payamber Hain Zamane Ko Pata Hai.
Phir Bhi Nahi Imdad Koi Karta Khudaya.
Tap Jati Hain Jab Dhop Mein Zanjeerein Badan Par.
Ho Jata Hai Be Chain Safar Mein Woh Tarap Kar.
Milta Nahi Abid Ko Kahin Dhop Mein Saya.
Bazar Mein Malono Ne Hai Naizay Se Aa Ke.
Sajjad Ko Tarpaney Ki Khuwaish Mein Dikha Ke.
Haye Samne Laila Ke Sar Akbar Ka Giraya.
Syedaniyo Ko Zalimo Ne Koray Jo Marey.
Behney Lagay Oss Zulm Se Jab Khon Ke Dharay.
Sar Peet Ke Khoon Aankhon Se Abid Ne Bahaya.
Darbar Mein Laya Gaya Shabeer Ka Jab Sar.
Peetey They Sharab Oss Ghari Hans Hans Ke Sitamgar.
Sajjad Ne Yeh Qabar Talak Gham Na Bhulaya.
Sar Naizon Pe Mazlomo Ke Sajjad Ne Dekhey.
Be Parda Haram Pyasay They Rasi Se Bandhay They.
Youn Shimar Laeen Ne Unhein Dar Dar Tha Phiraya.
Batlatay Hain Aankhon Se :ASAD: Khon Baha Kar.
Sajjad Ki Aankhon Mein Hain Sab Sham Ke Manzar.
Woh Mar Gaya Tha Jeetay Jee Jab Sham Tha Aaya.
Poet: :Asad Ali Asad:
Noha Khuwan: :Ali Raza Karbalai:
Noha Volume: :Ali Raza Karbalai 2022-23:
Composition: :Raza Shah:
#SajjadNeEkPal
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com