Baba Tumhari Fatima Shahid Baltistani Lyrics Urdu 2025
Baba Tumhari Fatima Shahid Baltistani.
Kitni Ghareeb Ho Gayi Baba Tumhari Fatima.
Jis Ko Kaha Tha Maa Tum Ne Oss Ko Hi Sab Ke Samne Jhoti Kaha Gaya.
Darbar Jab Se Dekha Hai Kitni Zaeef Lagti Hoon.
Pehchan Youn Karati Hoon Ro Ro Ke Khud Batati Hoon Haan Main Hoon Fatima.
Beton Ke Samne Baba Main Ne Tamacha Khaya Hai.
Kuch Bhi Nahi Woh Kehta Hai Bas Sehma Sehma Rehta Hai Beta Hasan Mera.
Zakhmi Hain Ungliyaan Itni Tasbeeh Parh Nahi Sakti.
Qunfuz Ne Taziyane Se Teri Fatima Ke Hathoon Pe Aisa Sitam Kiya.
Jis Dar Pe Aap Ruktay They Oss Dar Pe Aag Le Aaye.
Apne Hi Dar Ke Sholon Mein Dekhi Hai Teri Beti Ne Yasrab Mein Karbala.
Shiddat Thi Woh Tamachay Ki Main Munh Ke Bal Zameen Pe Giri.
Itna Woh Hath Tha Bhari Toota Hai Goshwarah Bhi Zakhmi Hai Fatima.
Baba Madine Walon Ne Mari Hain Thokarein Mujh Ko.
Wahid Yeh Jurm Tha Mera Mujh Se Ali Bachaney Ka Badla Liya Gaya.
Ik Tooti Qabar Se :MUHSIN: Aawaz Ab Bhi Aati Hai.
Yeh Kaisay Ho Gaya Baba Main Zindah Reh Gayi Mera Mohsin Nahi Bacha.
Poet: :Muhsin Jaffri:
Noha Khuwan: :Shahid Baltistani:
Noha Volume: :Shahid Baltistani 2025-26:
Composition: :Shahid Baltistani:
#BabaTumhariFatima
#NohayLyrics
#tajpoint
