Karb-o-Bala Jaisi Zameen Shakeel Baltistani Lyrics In Urdu and Roman Urdu
کرب و بلا جیسی زمیں
Shabeer Ki Nisbat Se Hi Yeh Khak Hai Khak-e-Shifa.
Karb-o-Bala Jaisi Zameen Koi Nahi Koi Nahi.
ALLAH Ke Dein Ko Mili Iss Khak Pe Nayi Zindagi.
Sab Anbiya Ki Izatein Iss Ki Badolat Hi Bachi.
Quran Ki Aayat Ko Bakhshi Hai Iss Ne Hi Jila.
Sheh Ke Karam Se Ki Har Ik Batil Ki Youn Mati Paleed.
Karb-o-Bala Se Kanpta Hai Har Zamane Ka Yazid.
Zalim Ke Har Ik Zulm Ka Takhta Ulat Kar Rakh Diya.
Sab Haq Paraston Ke Liye Yeh Hai Sirat-e-Mustaqeem.
Batil Ke Pairokaron Ko Dalay Gi Fill-Nar-e-Jaheem.
Yeh Hai Khuda Ka Faisla Yeh Hai Nabi Ka Faisla.
Karb-o-Bala Insan Ki Nazron Ki Kab Muhtaj Thi.
Oss Ki Ziyarat Kartay Hain Lakhon Farishtay Aaj Bhi.
Kyunke Farishton Ko Kabhi Lagti Nahi Koi Waba.
Pyara Hai Har Ik Cheez Se Ahl-e-Azza Ko Sheh Ka Gham.
Iss Par Nichawar Jan Bhi Kar Dein Gay Ghazi Ki Qasam.
Zamin Rahe Ga Hashar Tak Abbas Ka Parcham Khula.
Oss Ki Sabeelein Lag Rahi Hain Jo Raha Tashna Dahan.
Woh Be Kafan De Aaj Bhi Dunya Ko Karbal Ka Kafan.
Sare Jahan Mein Chal Raha Hai Karbala Se Silsila.
Shabeer Ka Khoon Beh Gaya Jab Karbala Ki Khak Par.
:ANSAR: Tab Se Ho Gayi Hai Yeh Muqadas Moatbar.
Har Ik Zameen Boli Meri Sardar Hai Karb-o-Bala.
Poet: :Syed Ansar Hussain Rizvi:
Noha Khuwan: :Shakeel Baltistani:
Noha Volume: :Shakeel Baltistani 2020-21:
#MolaHussainHai
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com