Imam e Zamana Mesum Abbas Lyrics Urdu 2026
Imam e Zamana Mesum Abbas.
Ghulamo Ki Nazrein Tumhein Dhondti Hain Bata Do Thikana Imam-e-Zamana.
Hamarey Liye Hai Beghair Aap Ke Yeh Jahan Qaid Khana Imam-e-Zamana.
Zara Al-Ajal Ki Sada Ko Asar Do, Humein Apne Aane Ki Kuch Tu Khabar Do.
Kahan Tak Humein Our Furqat Ke Gham Mein, Hai Aanso Bahana Imam-e-Zamana.
Yeh Dil Chahta Hai Keh Ab Aap Aaein, Jo Halat Hai Sab Robaro Hum Sunaein.
Karein Behtay Pani Pe Likh Likh Ke Kab Tak, Areeza Rawana Imam-e-Zamana.
Bohat Zulm Har Simt Barhney Laga Hai, Faqat Be Gunahon Ka Khoon Beh Raha Hai.
Zarori Bohat Ho Gaya Hai Tumhara, Zamane Mein Aana Imam-e-Zamana.
Sada Tum Ko Deen-e-Nabi De Raha Hai, Yahan Waqt Ka Phir Yazid Aa Gaya Hai.
Chaley Aao Ghaibat Ka Pardah Utha Kar, Hussain-e-Zamana Imam-e-Zamana.
Suna Hai Keh Koi Jazera Hai Aisa, Jahan Baith Kar Tum Chalatay Ho Dunya.
Keh Pohancha Do Ab Oss Jazerey Ki Had Mein, Hamara Safena Imam-e-Zamana.
Hasad, Bugz-o-Kina, Riya Kariyan Hain, Hamarey Amal Ke Sabab Doriyaan Hain.
Jo Hum Saaf Dil Hoon Tu Ho Jaye Mumkin, Tumhein Dekh Pana Imam-e-Zamana.
Khataein Hamari Jo Hain Bakhshwa Do, Humein Jaisa Tum Chahtey Ho Bana Do.
Gunah Gaar Ko Bhi Karam Bantta Hai, Tumhara Gharana Imam-e-Zamana.
Yeh Dil Sari Dunya Se Toota Howa Hai, Tumhare Siwa Kaun Ab Aasra Hai.
Sunaein Na Tum Ko Tu Kis Ko Sunaein, Yeh Gham Ka Tarana Imam-e-Zamana.
Tumhare Bana Muddatein Hain Guzari, Tum Aao Na Aao Yeh Marzi Tumhari.
:HILAL: Our :MESUM: Ka Hai Kam Tum Ko, Musalsal Bolana Imam-e-Zamana.
Poet: :Mir Hilal Rizvi:
Manqabat Khuwan: :Mesum Abbas:
Manqabat Volume: :Mesum Abbas 2025-26:
#ImameZamana
#ManqabatLyrics
#tajpoint
