Hamara Pehla Imam Mesum Abbas Lyrics In Urdu and Roman Urdu
ہمارا پہلا اِمامؑ
Salam Ya Ali Salam Ya Ali.
Khuda Ne Bhaijay Hain Jis Par Darood Our Salam.
Shaheed Aaj Howa Hai Hamara Pehla Imam.
Imam Aisa Jo ALLAH Ka Iradah Hai.
Imam Aisa Jo Zooj-e-Janab-e-Zahra Hai.
Imam Aisa Jo Pyaray Nabi Ka Saya Hai.
Imam Aisa Jo Hasnain Ka Bhi Baba Hai.
Hai Oss Imam Ki Dunya Mein Aaj Aakhri Sham.
Hussaini Maon Ne Bachoon Ko Apne Samjhaya.
Ali Ke Qatal Ke Yeh Din Hain Misal-e-Ashora.
Libas-e-Soag Pehan Kar Bichao Farsh-e-Azza.
Yeh Din Woh Hain Keh Khushi Bhi Haram Hai Beta.
Guzaro Giriya-o-Zaari Mein Apne Subha-o-Sham.
Zamana Lakh Mukhalif Ho Yeh Batana Hai.
Kissi Bhi Haal Mein Youm-e-Ali Manana Hai.
Azza Ke Lafz Ki Hurmat Ko Bhi Bachana Hai.
Keh Jan De Ke Bhi Farsh-e-Azza Bichana Hai.
Phir Aglay Saal Kahin Gay Ali Ke Sare Ghulam.
Ajeeb Gham Ka Yeh Mah-e-Siyam Aaya Hai.
Ali Ke Qatal Ka Saman Sath Laya Hai.
Nabi Ko Qabar Mein Jis Ne Lahu Rulaya Hai.
Ali Ke Bachoon Ne Daag-e-Yateemi Paya Hai.
Ali Ke Shiyon Mein Barpa Hai Dard Se Kuhram.
Namak Khajoor Se Iftar Karne Wala Imam.
Fida Rasool Pe Ghar Bar Karne Wala Imam.
Adoye Deen Pe Yalgar Karne Wala Imam.
Khuda Ke Bandon Se Hi Pyar Karne Wala Imam.
Ali Se Pyar Hai Jis Ko Parhey Ga Woh Yeh Kalam.
Tamam Kar Ke Tahajud Khuda Ka Shair Utha.
Phir Apne Ghar Se Chala Soye Masjid-e-Kofa.
Jaga Ke Apne Hi Qatil Ko Yeh Ali Ne Kaha.
Jo Kam Karne Ko Aaya Hai Kyun Nahi Karta.
Yeh Keh Ke Maula Mera Namaz Parhne Laga.
Hoi Jo Pehli Rakat Laeen Aqab Se Barha.
Chalai Taig-e-Jafa Shigaf Sar Ko Kiya.
Namazi Roney Lagay Ali Ki Aayi Sada.
Fuztu Berab Al-Kaba.
Bujhi Thi Zehar Mein Talwar Oss Sitamgar Ki.
Shigaf Kartay Hoye Sar Jaben Tak Utari.
Khabar Yeh Khana-e-Zahra Mein Jis Ghari Pohanchi.
Hasan Hussain Se Zainab Tarap Ke Kehne Lagi.
Falak Se Aaya Hai Jibreel Ka Yeh Kaisa Pyam.
Jahan Ko Detey Hain Paigham :MEESUM:-o-:MAZHAR:.
Nahi Qayamat-e-Sughra Se Kam Yeh Gham Dil Par.
Ali Ke Soag Mein Farsh-e-Azza Bichay Ghar Ghar.
Hamesha Bhejiye Lanat Bhi Ibn-e-Muljam Par.
Iss Aik Baat Pe Takmeel Pa Chuka Hai Kalam.
Poet: :Mazhar Abidi:
Noha Khuwaan: :Mesum Abbas:
Noha Volume: :Mesum Abbas 2019-20:
Composition: :Raza Shah and Mesum Abbas:
#HamaraPehlaImam
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com