Ye Fauj-E-Hussaini K Alamdar Ka Gham Hai Sajjad Ashraf Taqvi Lyrics In Urdu and Roman Urdu
یہ فوجِ حُسینیؑ کے علمدارؑ کا غم ہے
Jitna Bhi Karein Matam Lagta Hai Keh Kam Hai.
Ghazi Ki Shahadat Par Kuhram Na Kuch Pocho.
Jo Dil Hai Tarapta Hai Jo Aankh Hai Purnam Hai.
Aaqa Ki Ziyarat Ko Tarapta Hai Dam-e-Aakhir.
Seene Mein Dilawar Ke Baqi Jo Koi Dam Hai.
Sheh Aaye Hain Darya Se Kis Haal Mein Aye Zainab.
Be Aab Hai Mashkeza Tar Khon Mein Parcham Hai.
Sarwar Ka Dam-e-Rukhsat Abbas Yeh Noha Hai.
Nasir Hai Koi Mera Na Ab Koi Humdam Hai.
Zainab Tere Parday Ka Ab Kaun Mohafiz Hai.
Kartay Hain Haram Giriya Abbas Ka Matam Hai.
Aaye Na Chacha Jaan Bhi Baba Bhi Nahi Aaye.
Nalah Koi Zindaan Mein Yeh Aaj Bhi Paihum Hai.
Iss Gham Mein :KALEEM: Aa Kar Dunya Kabhi Dekhey Tu.
Har Gham Ka Madawa Hai Har Zakhm Ka Marham Hai.
Poet: :Kaleem Zafar:
Noha Khuwan: :Sajjad Ashraf Taqvi:
Noha Volume: :Sajjad Ashraf Taqvi 2021-22:
Composition: :Sonu,Monu:
#YeFaujEHussaini
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com