Shadi Hai Syeda Se Janab E Ameer Ki Sajjad Ashraf Taqvi Lyrics In Urdu 2021
Shadi Hai Syeda Se Janab E Ameer Ki Sajjad Ashraf Taqvi.
Baraat Aa Rahi Hai Nabi Ke Wazeer Ki.
Masroof-e-Intezar Khuda Ka Rasool Hai.
Farsh-e-Zameen Pe Hoor-o-Malak Ka Nazool Hai.
Yeh Jashan-e-Ishtarak-e-Ali-o-Batool Hai.
Rehmat Baras Rahi Hai Khuda-e-Qadeer Ki.
Hain Be Misal Sare Barati Baraat Mein.
Dulha Ali Sa Kaun Hai Iss Kainat Mein.
Beti Ka Hath Dein Gay Nabi Oss Ke Hath Mein.
Aadam Ki Jis Ke Hathoon Ne Matti Khameer Ki.
Noshah Par Nisar Hai Yousuf Sa Khobro.
Sehra Ali Ka Parhtay Hain Dawood-e-Khush Galu.
Sadqa Ali Ke Naam Ka Batta Hai Chaar So.
Jholi Khuda Ne Bhar Di Hai Ik Ik Faqeer Ki.
Saj Dhaj Ali Ki Chashm-e-Khuda Ka Garor Hai.
Chehray Se Aashkar Qayamat Ka Noor Hai.
Jamay Ki Har Kiran Pe Fida Barq-e-Toor Hai.
Sharminda Aab-o-Taab Hai Mah-e-Muneer Ki.
Janat Nasheen Shana Ba Shana Ali Ke Hain.
Paikar Hasen Shana Ba Shana Ali Ke Hain.
Rooh Al-Amin Shana Ba Shana Ali Ke Hain.
Hairat Mein Hai Nigah Har Ik Rahgeer Ki.
Sehrey Mein Aayaton Ki Hai Khushbo Khuli Hoi.
Sorat Hai Aab-e-Noor-e-Khuda Se Dhuli Hoi.
Chehra Hai Ya Kitab-e-Khuda Hai Khuli Hoi.
Baraat Kiya Hasen Hai Roshan Zameer Ki.
Aayi Hai Fikar Noor Ki Wadi Mein Ghoom Ke.
Maula-e-Kainat Ke Sehrey Ko Chom Ke.
Kehta Hai Dil Yeh :AKHTAR-o-SAJJAD: Jhoom Ke.
Dunya Nazeer Laye Marey Dast Geer Ki.
Poet: :Akhtar Sirsivi:
Manqabat Khuwan: :Sajjad Ashraf Taqvi:
Manqabat Volume: :Sajjad Ashraf Taqvi 2020-21:
Composition: :Sonu,Monu:
#ShadiHaiSyedaSeJanabEAmeerKi
#ManqabatLyrics
#tajpoint